Khanna e rab me imamat ka ka ujala utra
daikh kar shahkle ali chand ka chehra utra
Aaj bhi kaabay k chaker me hy masroof jahan
Ajj tak mola ali taira na sadqa utra
Sadaqaton ki nishani hussain hay
duniya me inqilab ka bani hussain hy
dushman ko jis nay apney lahoo say shikast di
Woh mard e haq woh haider e sani hussain hay
Nazar Gum hai Nazaro Ko Badi Takleef Hoti Hai
Baghair unke nazaro ko Badi Takleef Hoti Hai
Nabi Kehte The ye Aksar Ke Aksar Zikr e Haider Se
mere Kuch Jaan Nisaro Ko Badi Takleef Hoti hai
Wafa ko naaz hai jis par usay Abbas(AS) kehte hein
Lagay jo Saani-e-Haider(AS) usay Abbas(AS) kehte hein
Alam patthar pe jo gaaray usay kehte hein sab Haider(AS)
Alam gaaray jo pani par usay Abbas(AS) kehte hein
Jis Ne Aal e Nabi Ko Sataya
Jis Ne Bint E Nabi Ko Rulaaya
Bil Yaqeen Bad Nasab Hai WO Insan
Jis Ne Qaul e Nabi ko Bhulaya
Noor Ko Noor Mana Na Jisne
Ta Qayamat Wo Andha Rahega
Khazanay ki jo zeenat ho usay ALMAAS kehtay hain
Tamana pani ki hoti hay toe PYAAS kehtay hain
Jahan peety jain sub pani usy kehtay hain sub darya
Jo darya ko pilata hoo usay ABBAS (A.S) kehtay hain!
Seenay me jo abbas k kadmo ki dhamak hy
Heabat in dhamak ki sir e aarsh talak hy
Yeh keh k guzarta hy garajta huwa badal
Bijli mairey Abbas k lehjay ki karak hy
Abhi tou zulm ka qissa tamaam hona hay.
Hussainiat ko abhi gaam gaam hona hay.
Jo ho raha hay sitam uski shaam hona hay.
Karo na fikr Zahoor-e-Imam hona hay.