Ayat-al-Kursi Ki Fazilat

Ayat-al-Kursi Ki Fazilat
Jo shakhs raat ko sote waqt aik bar Ayat-al-Kursi parhta he’ Allah Pak frmata he

“Ay Farishto! Jao mere is bande ki hifazat karo”

magar yehi banda jab teen martaba Ayat-al-Kursi parhta he to Allah Pak Farishton se farmata he ,

“Wapas ajao ,Ab Me khud is ki hifazat karun ga”

SubhanAllah
  

Jan, 29 2014     290 chars (2 sms)     6247 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

Seenay me jo abbas k kadmo ki dhamak hy
Heabat in dhamak ki sir e aarsh talak hy
Yeh keh k guzarta hy garajta huwa badal
Bijli mairey Abbas k lehjay ki karak hy
Hussain Teri Ataa Ka Chashma
Dilo''n K Daman Bhigo Raha Hy

ye Aasman Par Udaas Badal
Teri Mohabbat Main Ro Raha Hy

Saba Bhi Guzry Jo Karbala Se
Tou Us Ko Kehta Hy Arsh Wala

Tu Aur Dheery Guzar Yahan Pr
Mera Hussain So Raha Hy ...
Wo jiska Mansab hi tha Imamat tu Lahja kitna Mateen hoga

Khuda ne Masoom jo banaya wo Ismaton ka Ameen hoga..

Luaab e Sarwar Lahu Ali ka .. BaTOOL ki goud .. Aur husn e Shabbar

yE saari cheezain mila kay socho Hussain kitna haseen hoga !???
Khanna e rab me imamat ka ka ujala utra
daikh kar shahkle ali chand ka chehra utra
Aaj bhi kaabay k chaker me hy masroof jahan
Ajj tak mola ali taira na sadqa utra

Sadaqaton ki nishani hussain hay
duniya me inqilab ka bani hussain hy
dushman ko jis nay apney lahoo say shikast di
Woh mard e haq woh haider e sani hussain hay
Zameen E Haq Pe Hasad Se Shigaaf Mat kijeay
Amal ko Hukum E Khuda k Khilaaf Mat Kijeay
ALi(a.s) Ka Bughz Mila Hai Agar wirasat me
Tu Kaba Ghar hai ALi(a.s) Ka Tawaaf Mat kijeay
Khush na Hamse Dushman e Haider Hua,Acha Hua
Dushman e Haider Ka Hamse Dil Jala, Acha Hua
Hogaya Nazdeek Mujse Rab Mera Ayy Doston
FATIMA ke Dushmano Se Fasla, Acha Hua
Kuch Barhami Hai Zara Is Noor-E-Ain Main
Milta Hai Iztiraab Yunhi Dil K Chain Main
Selaab Dekhta Hoon Tou Ata Hai Ye Khyal
Pani Bhatak Raha Hai Talash-E-HUSAIN Main..
Karbala De Rahi Hai Musalsal Sada
Muntazir jane Kab Se Hai Ahle Wila

Jald ho Ab Zahoor e Imam e Zamam
Ay Khuda Hai Yehi Aarzoo e Wafa
Allah Tallah Hum Sab Ko Sedhi Raah Pr Chalny Ke Taufeeq Ata Farmay
Ameen
HAPPY EID MILAAD-UN-NABI
Mola Abbas(A.S)ka Banda Hun
Ghunah Ghaar Bhi Hun
Doozakh Me Naa Jaaaoo Ga
Khata Kaar Bhi Hun
Ager Kheench Ker Lay Bhi Gaye 10 20 Malaaiek!
Aag Ro Ro Ker Bhujaa Dunga
Azaadaar Bhi Hun
ALI (a.s) Wali bhe hai or ALI (a.s) Asool bhe hai
ALI (a.s) Imam bhe hai shoher-e-Batool (s.a) bhe hai
Agarchay YA ALI (a.s) kehna haram Mazallah!!
To is Gunnah may shamil tera Rasool (a.s) bhee hai
Kala Kala Na Kar Zeada Waiz
Jo Kehta hoo Ghaur Se Sunle
Gar Aaj Gham e Hussain Me Na Roya
To Kal Mehshar Me Girgirana parega