Jab Tumhara Dil Gunah ke Kamon mein Lagna Shuro ho Jaye to Yeh is Baat ki Daleel hai ke Tumhara Rab Tum se Naraz hai…’ Hazrat Ali (Razi Allah ta-ala Anho)
Hussain Mera
Hussain Tera
Hussain Rab ka
Hussain Sab Ka
Hussain Gar na
Shaheed Hota
Tou Aaj Ghar Ghar
Yazeed Hota
Khuda k Ghar Main
Azaan Na Hoti
Nabi[S.a.w] Ki
Sunnat Ada Na Hoti
Kuch barhami hai zara is noor-e-ain main
Milta hai iztiraab yunhi dil k chain main
Selaab dekhta hoon tou ata hai ye khyal
Pani bhatak raha hai talash-e-HUSAIN main
mehki hui jannat k hawa khoob hai leken
Abbas(a s) k rozay k fiza sab seh alag hai
laao tou ata karnay main Abbas ka sani
bin hathoon seh denay k ada sab seh alag hai.......
karbala ko karbala k shensha pr naz hai.us NAWASE pe MOHAMMAD MUSTAFA S.A.W ko naz ha.yun to lakhon ne sajde kiye pr"HUSSIAN"ne woh sajda kia jis pe KHUDA ko naz ha.
Humko Ali(as) Ke Ishq Ne Aala Banaadiya!!!!
Qatra Tha Hussain(as) Ne Dariya Bana Diya!!!!
Jab Maatami Libhaaz Kiya Humne Zeb-E-Tan!!!!
Humko Gham-e-Hussain(as) Ne Kaaba Banadiya!!