Jahan Ali Hain Wahan

Jahan Ali Hain Wahan
Jahan Ali Hain Wahan Roshni Ki baat Kero

Unhi Ke Ishq Me Ab Zindagi Ki Baat Kero

Farishto Kaisa Hisab Mehshar me ?

Ab aagaye ho to Baitho, Ali Ki baat kero
  

Jun, 15 2010     164 chars (2 sms)     2550 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

ABBAS K Katey Baazu Ki Jab Wafa Yaad Aai

BINT-e-ZEHRA Tere Sar Ki Rida Yaad Aai

Dekha Jab Teer ALI ASGHAR K Halaq Par

Hoz-e-Kausar Ko Pyaaso''n Ki Sada Yaad Aai

Bujh Gaye Chiraag Jab ZEHRA K Laal K

Momin Ko MAULA Ki Aza Yaad Aai

Dekha Jab Sar-e-HUSSAIN Ko Nezey Ki Nok Pe

Mustafa(S.A.W) Tere Deen ki baqa Yaad Aai
Hazoor (S.A.W) Ne 4 Cheezon Se Allah Ki Panah Maangi.

1- Aisa Elam Jo Nafa Na De.

2- Aisa Dil Jo Allah Se Na Dare.

3- Aisa Nafs Jo Sair Na Ho.

4- Aisi Dua Jo Suni Na Jaye.
Best line written in front of Mosque in New York,,,,,,
Always believe in GOD, because there are some questions in grave that cannot be answered by Google........
Aye mavia mardood tu naakaam hogaya
Duniya main zikre Aal-e-Nabi aam hogaya
Meray Hussain per hain Durodon ki barishain
laanaaat teray yazeed ka anjaam hogaya
Kahani Bana lo Latifa Bana Lo,
Jahan Milke Baitho Sakifa Bana Lo,
Agar Chahte ho Kufr Maut Marna,
Jise Chahe apna Khalifa Bana Lo
Mana Ke ye As''hab Aqeedat Ke Nishan The
Tasleem Kia Ahmed e Mursal Ki Ye Jaan The
Namoos e Sahaba Ke Khateebo Se Ye Poocho
Ye Log Muhammad (SAWW) Ke Janazay Me Kaha The?
HuSSaiN Parhna , HuSSaiN Likhna
Khuloos-e-Dil ki Roshnaai le kar
Ba Deeda Tar Hussain Likhna
Tum Aisa karna Kitab-e-Dil ke
Waraq Waraq Par Hussain liknna

Huroof Khushboo ke Phool Ban kar
Tumhare Seenay Main Khil Uthainge
Tum aisa Karna Ke Apni Aankho''n
Aur Apne Lab Par Hussain liknna

Ye Pairh Saaray Ye Sab Parinde
Adab Se Sajda Karainge Unn ko
Tum Aisa Karna Ke Unn Hawao''n
Ki Jhaalaro''n Par Hussain liknna

Hussain likh Kar Phir Uss Ko Likhna
Phir Uss kO Likh kar tum Aisa Karna
Ke Aaj Tak Tum Ne Jo Bhi Likha HO
Tum Uss Ka MehWar Hussain liknna

Zamane-e-Karbala Ka Kehna Kia

Faqt Zulm Ki Intiha Lekin HUSSAIN Ka Nara Kia

Dastan-e-Ajeeb Hai Khoon Ki Sitam Ki

Panjtan Kafi Karbala Ki Zameeno’n Ka Kehna Kia
Aazan DainGi Tumhari Aankhain
Tumhaare Misray Adaa Karain Gi
Tum Aisa Karna K Rah-e-Haqq Main
Hussain Parh kar Hussain liknna

Wo Barchiyan Wo Chamaktay KhanJar
wo TapTay Sehraa Pukaartay hain
Tum Aisa Karna K KarBalaa ke
Badan Pe Ja Kar Hussain liknna

Agar Kitaabat Ka Shauq Ho to
Kitaab-e-Sabar-0-Razaa Main Rahat
Jahan Shaheedo''n Ka Naam Likhna
tou Sab se Opar Hussain liknna. . .
Khutba-e-Zainab Sai Larzan Thai Zameen-o-Aasmaan,

Rakh Diya Takhta Palat Kar Jis Nai Mulk-e-Shaam Ka...

Bhai Khaak-o-Khoon Main Ghaltan Aur Zindaan Mai Behan....

Tashat Main Bhai Ka Sar, Zainab Bahr-e-Darbar Main ,

Koie Bhi Insaan Nahi Tha Lashkar-e-Kuffar Main
ALI ka ishq muqaddar sanwar deta hai
ALI ka bughz chehra bigaar deta hai
ALI ki zaat ko adnaa mat kaho nadaano
Ye ek yngli se khyber ukhaar deta hai.
jo Ali [a.s] ka na hoa kab hamara hoga wo to buss katib.e.taqdeer ka mara hoga jannat mien janay se rokay ga bhala ko hamein jab payaray Muhammad [PBUH] ka ishara hoga matam-e-Hussain par aey fatway laganay walon hashar mien dekhna kya hashar tumhara hoga tazira AL-E-MUHAMAD [A.S] ka no jis mien WAQAS aesy mehfil mien kahan apna guzara hoga''''