Kisi bhi Bazm-e-Mahfil main jana Ali Ali kahna
Wajood apna batana to Ali Ali kahna
Farishte tum se karain jo sawal Turbat main
Koi jawab na denaa Ali Ali kahna
Bheja nahi tha SHAIR ko jung ke khayal se,
Lag jaati warna aag neher mein jalaal se,
Kat kat ke gire zulm ke parcham zamin par,
Tera alam jawan hain 1400 saal se.
Mumkin nahi hai kisi sy adaawat Hussain(A.S) ki.
Sansoon mein but rahi hai sakhawat Hussain(A.S) ki.
Bazar k Khajoom se keh do chup rahe.
Quran kar raha hai talawat Hussain(A.S) ki.