Mangnay walon k dil ko ye yaqeen hai ABBAS(a.s).
" NA " karna tera dastoor nahi hai ABBAS(a.s).
Aa rahi hai Daro deewaar say Khushbo-e-Wafa.
Aisa lag raha hai is waqt yaheen hain ABBAS(a.s).
Jo nathiq e Qura''an ne diya nok e sina se
paigham wo dunya se mitay ga na mita hai
qanoon e Hussain ibne Ali(a.s) bar sir e sehra
Abbas(a.s) ne haatho ko qalam ker k likha hai
Kadurat Ho To Sachi Baat Bhi Mani Nahi Jati
Ke Chashme Toor Tak Suraj Ki Tabaani Nahi Jati
Ab Itna Bhi na Apne ko Bigaro Bugze HAIDER Me
Ke Khud Tumse Tumhari Shakl Hi Pehchani Nahi Jati
ERI Azmaton Se Hon Be-khabr Ye Meri Nazar ka Qasur Ha! TERI Rah Guzar Mein Qadam Qadam Kahin Arsh Hai kahin Toor Ha! Ye Baja Hai MALIK-E-DO JAHAN Meri Bandagi Main Qasoor Hai! Ye khata Hai Meri khata Mger TERA Naam B To GHAFOOR Hai Ye Bata TUJH Se Miloon kahan Mujhe TUJH Se Milna Zaroor Hai! Kahin Dil ki Shart Na Daalna! Abhi Dil Gunahon Se Choor Hai TU Bakhsh De Mere Sub Gunah! Teri Zaat Raheem-o-Ghafoor Hai