Percham-e- Hazrt-e-Abbas Uthay Rukh Na
Shor-e-Matam Sy Zamany Ko Jagay Rukhna
Gham-e-Shabbir Ibadat Hy Koi Rasm Nahi
Apni Naslon ko Azadaar Banay Rukhna
mehki hui jannat k hawa khoob hai leken
Abbas(a s) k rozay k fiza sab seh alag hai
laao tou ata karnay main Abbas ka sani
bin hathoon seh denay k ada sab seh alag hai.......
Hazrat-e-Abbas(a.s.) shahay lafata k shair hain
khandaq_0_khaibaar k woh yai karbala k shair hain
kyoun na hoon her jang main yai misley haider fathayaab
woh khuda k shair yai shair_e_khuda k shair hain
jo Ali [a.s] ka na hoa kab hamara hoga wo to buss katib.e.taqdeer ka mara hoga jannat mien janay se rokay ga bhala ko hamein jab payaray Muhammad [PBUH] ka ishara hoga matam-e-Hussain par aey fatway laganay walon hashar mien dekhna kya hashar tumhara hoga tazira AL-E-MUHAMAD [A.S] ka no jis mien WAQAS aesy mehfil mien kahan apna guzara hoga''''