Hazrat-e-Abbas(a.s.) shahay lafata k shair hain
khandaq_0_khaibaar k woh yai karbala k shair hain
kyoun na hoon her jang main yai misley haider fathayaab
woh khuda k shair yai shair_e_khuda k shair hain
Acha dost kitni dafa hi kyun na ruth jaye ussey mana lena chahiyeh kyun ke tasbeeh ke daney kitni dafa hi kyun na bikher jayein chun liye jatey hein Hazrat Ali (A.S)
Apnay Dukhoon mein aya jo SHAHBIR(A.S) ka khayal
Shikwa tarap ke shukar mein tabdeel hogaya
Har ghum mein KARBALA ne sahara diya humay
Har ghum GHUM e HUSAIN(A.S) mein tehleel ho gaya
Jis ne Mun Mora Mushkil Kusha Se
Door Hogaya Phir WO Khuda se
Jis Ki Wabastagi Hi Nahi Hai
Ab Bhi Darwaaza e Sayyida Se
Dehr Me Darbadar, Zindagi Bhar
Thokerain Yuhin Khata Rahega