Jab bhi jo deta hai Laraib jali deta hai
Khud kabhi aur wasilay se kabhi deta hai
Mang leta hoon to lay aata hai khaliq se magar
Mujh ko dunya mein mera rizq Ali(as) deta hai
Sab k sab aala nasab silsila hy aik sa
Ibtida hyder say hy Mehdi pay hy inteha
Chotay barey ka sawal in me huwa hy na hoo
Dada bhi laftah pota bhi mushkil khusha
Betho Nabi(saww) ka pass jo farman chahiye
jao Ali(as) ke pass jo emaan chahiye
awaz de raha hai jahan ko mah-e-sayam
Zahra(s.a) kay ghar main aao jo quran chahiye
Ye Aitbaar Meri Zindagi Ka Haasil Hai
Ibaadaton Ke Safar Ki Hussain Manzil Hai
Namaz Main Bhi Tasavvur Hussain Ka Rakho
Ya Ye Kaho Ke Nabhi Ki Namaz Baatil Hai