Zikre-e-Shabbir Dhamakon sey Dabaney Waley
Kitney Nadaan hain Shion ko Daraney Waley
Ghaib sey aati hai ya Sada-e-Mehdi (AS)
Zikre-e-Shabbir Karo hum ney bachaney waley
Kisi bhi Bazm-e-Mahfil main jana Ali Ali kahna
Wajood apna batana to Ali Ali kahna
Farishte tum se karain jo sawal Turbat main
Koi jawab na denaa Ali Ali kahna
Kuch Barhami Hai Zara Is Noor-E-Ain Main Milta Hai Iztiraab Yunhi Dil K Chain Main Selaab Dekhta Hoon Tou Ata Hai Ye Khyal Pani Bhatak Raha Hai Talash-E-HUSAIN Main..
Tumhare hijr ko wo inteha na keh bethein
Kaheen janab ko wahdat saraa'' na keh bethein
Wajood rakhte huey bhi dikhaii dete nahi
Ae Mola bande tujhi ko Khuda na keh bethein