Mariyam se bhi Batool ko rutba siwa mila
Baba ussey Rasool sa khair ul wara mila
Baita her ik shaheed-e-rah-e-kibriya mila
Shauher mila tou khalq ka mushkil kusha mila
her aik apnay mertabay mein intekhaab hai
Zehra hain bemisaal Ali lajawaab hai
para''ey des main bhi apni seekhoon dhoond letay hain
Ali waalay Ali waalon ki khushboo soongh letay hain
naajanay musalmaanon ko nazar kiyun nahin aatay
fazaail to meray Maula k hindu dhoond letay hain
Janat Ki Arzoo Main Kahan Ja Rhy Hain Log…. Janat To Karbala Main Khareedi HUSSAIN(a.s) Ny…. Duniya-o-Akhrat Main Jo Rehna Ho Chain Sy…. Jeena ALI(a.s) Sy Seekho Marna HUSSAIN(a.s) Sy..
"Ain" woh "Ain" k jis"Ain" say Ibadat ka saranjam hoa,
"Laam" woh "Laam" k jis "Laam" say ISLAM hoa,
"Ye" say Yawer hoay har ek mushkil mein,
SADQE Islam k kya khoob ALI naam hoa,