Mana Ke ye As''hab

Mana Ke ye As''hab
Mana Ke ye As''hab Aqeedat Ke Nishan The
Tasleem Kia Ahmed e Mursal Ki Ye Jaan The
Namoos e Sahaba Ke Khateebo Se Ye Poocho
Ye Log Muhammad (SAWW) Ke Janazay Me Kaha The?
  

Jun, 15 2010     174 chars (2 sms)     2483 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

ALLAH knows what is the best
for you and when
it is best for you to have it
Kuch barhami hai zara is noor-e-ain main
Milta hai iztiraab yunhi dil k chain main
Selaab dekhta hoon tou ata hai ye khyal
Pani bhatak raha hai talash-e-HUSAIN main
Mehshar main bhi anmol aqeeday k iwaz hum

bakhshish jo kharidain tou gunahgar na kehna

Jannat main bhi Shabbir teray gham ki qasam hai

matam na karain hum, tou azadar na kehna
Fanaa k Baad b is Rasam Ko nibhaein gein
Lahad mein ja k b hum tera Ghum Manaein gein
Nishaaan ABBASS ka turbat pe hum laga dein gein
Hussain teri sadaqat pe sir kata dein gein.
Ishq E Haider Me Agar Daar pe Kheinchaa Jaonn

Dafan kardena mujy, Meesam e Tammar Ke Sath
Ghooror toot gaya koi martaba na mila,

Sitam k bad b kuch Hasil-e-Jafa na mila ....

Sir-e-HUSSAIN(A.S) mila hai yazeed ko laikin,

Shikast ye hai k phr b Jhooka hua na mila =)
Apnay Dukhoon mein aya jo SHAHBIR(A.S) ka khayal
Shikwa tarap ke shukar mein tabdeel hogaya
Har ghum mein KARBALA ne sahara diya humay
Har ghum GHUM e HUSAIN(A.S) mein tehleel ho gaya
Khatam hai duniya ki tareekh-e-wafa Abbas(AS) par
Ibtida jis se bhi ho, haan inteha Abbas(AS) par
Saari duniya ko nuseri k Khuda par naaz hai
Naaz karta hai nuseri ka Khuda Abbas(AS) Par
Chaadar-e-Tatheer thora aur barh jaati agar
Ik siraa Zainab(SA) pe hota doosra Abbas(AS) Par
Kareeb AHLEBAYT k Aao toh koi Baat bane
Imaan phir se Jaga''o toh koi baat bane

Lahoo jo Beh gaya Sahie-e-KARBALA ka
Unke MAQSAD ko samjho toh koi baat bane
Jab Tumhara Dil Gunah ke Kamon mein Lagna Shuro ho Jaye to Yeh is Baat ki Daleel hai ke Tumhara Rab Tum se Naraz hai…’
Hazrat Ali (Razi Allah ta-ala Anho)
Jin K Sajdo''n Se Munawar Hai Jabeen-e-Aftab

Mere Harfo''n Ki Ibadat Un Khuda Walo''n K Naam

Meri Sheh-rug Ka Lahoo, Nazar-e-Shaheedan-e-Wafaa

Mere Jazbo''n ki Aqeedat Karbala Walon K Naam. . .
H:Hasraton ki akhri manzil

U:Ummidon ki panah gah

S:Sajda-e-Ishq ki intaha

S:Sabar ki intaha

A:Akhirat main bakhshish ka wahid rasta

I:Insaniat ki Darsgah

N:Nawasa-e-Rasool(S.A.W)