Ab is se barhke kya hai Fazilat HUSSAIN kee,
Jahan kar raha hai Midhat HUSSAIN Kee,
Hum lege Karbala ke Shahidon Ka Inteqam Mahshar me,
Jab lagegi adalat HUSSAIN kee.
Tareekh me duniyaTareekh me duniya ki wahid yehi manzar hy
Hansta huwa bacha hy roota huwa lashkar hy
Kya jang karun me insay Abbas e Jarii boley
In shaam ki foojon pe bhari maira Asghar hy
Durood Zinda Hai Apna Salam Zinda Hai
Khuda K Saath Mohammad(SAWW)Ka Naam Zinda Hai
Tumhara To Koi Murda Bhi Ab Nahi Koi
Humein Hai Fakher K Humara Imam(A.S)Zinda Hai.
Tamanah yeh mere ta umar-e- zindagi rahe gi
Her namaz main bas yehi dua Allah kay guzar rahe gi
Shamil mujhe karley MOla apni foj main
Phir dekhna kis Munkir-e-Ali(A.S) ki garden dhar per rahe gi
Namaz main"RUKU" k baad or "SAJDEY" se pehle sakoon se seedha khara hona wajib hai. Is halat ko "QOMA" kehte hain. Issi trha dono sajdon kjdoon ke darmiansakoon se seedha baithna bhi "WAJIB" hai Is halat ko "JALSA" kehte hain