Daagh e Matam jo seenay se laga rakkha hai
Dil ko Mola ka aza khana bana rakkha hai
Mushkilo soch k aana mere ghar ki jaanib
Meine Ghazi(AS) ka alam ghar pe laga rakkha hai
Jo Na Pekar-e-Mawaddat Mein Dhaley Ga
Taa-Abad Aatish-e-Dozakh Mein Jaley Ga
Rakh Jeib Mein Ishq-e-Ali Ka Zar-e-Khalis
Sikka Yehi Bazar-e-Qayamat Mein Chaley Ga
para''ey des main bhi apni seekhoon dhoond letay hain
Ali waalay Ali waalon ki khushboo soongh letay hain
naajanay musalmaanon ko nazar kiyun nahin aatay
fazaail to meray Maula k hindu dhoond letay hain
Dasht-e-Bala ko Arsh ka Zeena Bana diya
Jungle ko Mustafa ka Madina Bana Diya
Har Zarrey ko Najf key Nagina Bana Diya
Aye Husain Tum ney Marney ko Jeena Bana Diya
Aashoor ko diye se hawa bool rahi ha,
bujh kar bhi tum main rooh e baqa bool rahi ha,
aawaz di chiragh e imamat k noor ney,
Imran k lahoo ki zia bool rhi ha