Kia Jalwa Karbala Mein Dikhaya HUSSAIN Ne Sajde Mein Ja k Sar Kataya HUSSAIN Ne Naize Pe Sar Tha Aur Zubaan Pr Aayatei? QURAAN Is Terha Sunaya HUSSAIN Ne NANA k DEEN Pe Har Cheez Waar Dii Kuch Na Apne Paas Bachaya HUSSAIN Ne Kyun AAQA (S.A.W.W) Ko Na Apne Nawasey Pe Naaz Ho Har QAUL MUSTAFA (S.A.W.W) Ka Nibhaya HUSSAIN Ne,.
Humko Ali(as) Ke Ishq Ne Aala Banaadiya!!!!
Qatra Tha Hussain(as) Ne Dariya Bana Diya!!!!
Jab Maatami Libhaaz Kiya Humne Zeb-E-Tan!!!!
Humko Gham-e-Hussain(as) Ne Kaaba Banadiya!!
Milta nahi hai koi sahara yazeed ko
BIBI(A.S) ne is tarha se ujara yazeed ko
Khatoon thi is liye jung kar nahi sakti
Khutboo k zulfiqar se mara yazeed ko
Allah woh bhi waqt zamaney me laye ga
Dhonday say bhi nishan na batil ka payega
Khamosh is tarhan say jo rahey gi Kitab e Haq
Duniya me bolta huwa Quran Ayega
Aabhi kuch or rahyen gay Imam parday me
K horahey hain qayamat k kaam parday me
Sehar say pehlay arezun ki maslihat hy yehi
Huzoor say ho salam o payam parday me