Durood Zinda Hai Apna Salam Zinda Hai
Khuda K Saath Mohammad(SAWW)Ka Naam Zinda Hai
Tumhara To Koi Murda Bhi Ab Nahi Koi
Humein Hai Fakher K Humara Imam(A.S)Zinda Hai.
Insan jab paida hota hai to azan di jati hain namaz nai parhi jati aur jb marta hai to namaz parhi jati hai azan nai di jati yani zindagi ka safar azan se namaz tak hai
mairey imam say behtar koi imam nhn
yeh woh qalam hy jis say behtar koi kalam nhn
woh khush naseeb hy jo hy ghulam e haider
woh badnaseeb hy jis k ali imam nhn
Abbas(as) Tajdaar-e-Wafa Arjumand hain
Aisay Khuda pasand khudi ko pasand hain
Panjay Alam pay nasb hain Dunya yeh dekh lay
Ghazi k Haath kat k bhi kitnay buland hain.