Sun le Ye Ghaur Se

Sun le Ye Ghaur Se
Sun le Ye Ghaur Se Waiiz
Tu Kia, Tere Baap Ko Bhi
Jaiye Wiladat E Ali Par
Apne Sir Ko Jukana Parega
  

Jun, 15 2010     103 chars (1 sms)     2251 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

Aaye baghe askari k muqadas tareen phool
Aaye kaaba e fikro nazar aa kibla e asool
Aa hum say bhi khiraj e dil o jaan Kijye wasool
Mola tairey bagair hum ko qayamat nhn qabool
Jannat me maalo zar na hukumat k wastay
hum ji rahey hyn teri ziyarat k wastay
Karta hun mein jis se bar baar TAUBA,

Elahi mujhse wohi KHATA kion hoti hai,

Banatay to hain hum apne haton se MASJID,

NAMAZ apni hi phir QAZA kion hoti hai..
aale nabi ka zikr tha jin wakiyaat main
who wakiyaat miltey nahin hai Deeniyat main
jin par fakeer bheek bhi mangtey nahn
woh naam shamil hogaye islamiyat main
Aamad e Qasim hoi hay mujtaba ki gaud me
Khud hassan aye thay jaisey murtaza ki gaud me
Bha gai qasim ki surat jab zameen k chand ko
ye kaha yun saatwin me chaudwin ka chand ny
hay pisar qasim hassan ka fatima ki gaud me
Aisa lag raha k chaand agay hy chaand ki gaud me
Sajday se karbala Ko Bandagi Mil Gai

Sabar Se Ummat Ko Zindagi Mil Gai

Ek Chamman FATIMA(S.A) Ka Ujra

Magar Sarey Islam Ko Zindagi Mil Gai
Hai azme Khalili sinoan me, sholoan me phool khila denge
Hathoan me nihan hai zoore Ali, Khaiber ka saman dikhla denge
Abbas-e-dilawar ke waris, har ek ki pyas bhuja denge
Ye nasl wa mulk wa rango watan, ki sab diware gira denge

Is waqat fiza-e-alam me, bas ek Alam lehraega
sab thaat pada rehjayega, jab aane wala aayega
SHUKRANA

Aye Khuda...Sun...Zara...
Haath Mere Uthey Jab Dua k liye...
Lab Hiley,aankh se chand Qatrey Girey
Ghaur se main ne Dekhi Hatheli wahan...
Qatre Moti k jaisey chamakne lagey...
*Khushboo* Ghulne lagi jab Meri Sans me
Khul k Ehsaas mujh ko hua iss tarha....
Arsh Par Badalon se Parey Uss Jagah
Poori Hone Lagi meri Har ek Dua
Wo Dua jiss ko Boya tha Dil k Jahan
Aabiyari thi
ashkon ki Har pal wahan
Soz hardam Tadap aah o zaari Rahi
Wo Dua kesey na
Rang laati meri?
Ek Muddat ye gham mujh pe haawi Rahey
Mere SAJDE tere Dar Sawali Rahey
aour TU iss Qadar..iss Qadar Mahraban..
Hai Tere hi Karam ki ye sab Inteha
Mere Hathon ko Girne se hi qabl yun
Bhar Di Jholi meri Tu ne Rabb E Jahan...
Hai ye tera Karam...
moajza jo kiyaa....
***WO JO MERA NAHI THA****
mera HOGAYA....
Zakhmoun se choor choor hai Zahra(as)ka ladla
roko zaraa ye teer to sajda karein ada
kese jawaan betay ki wo laash uthaye
tooti hui kamar hai k Abbas(as)chal basa
bhai ki laash pe jo behen ro k gir parri
mein ja rahi hu shaam mujhe keh do alvidaa
ummet ne khoob AJR-E-RISALAT diya humein
tu be-kafan HUSSAIN(as),mein ZAINAB(as) be-rida choor hai Zahra(as)ka ladla
roko zaraa ye teer to sajda karein ada
kese jawaan betay ki wo laash uthaye
tooti hui kamar hai k Abbas(as)chal basa
bhai ki laash pe jo behen ro k gir parri
mein ja rahi hu shaam mujhe keh do alvidaa
ummet ne khoob AJR-E-RISALAT diya humein
tu be-kafan HUSSAIN(as),mein ZAINAB(as) be-rida
Ta'ajjub Hai:

KHUDA Apni Itni Sari Makhlooq Me Se Bhi
Meri Choti Se Choti Zaroorat Nhi Bhoolta.

Or

KHUDA To Ek Hi He,
Phir Bhi HUM Use Bhool Jate Hain.
Azmat k 4 Minaron k 4 Azeem Aqwal:
Insan Khud Azeem Nhi Hota Bal’K UsKa Kirdar Azeem Hota He,
Hazrat Abu Bakar Siddiq R.Z
Ghuse Ki Halat Men Insaf Krna Mushkil Hota he,
Hazrat Umer Farooq R.Z
Zindgi Ka Koi Maqsad Banalo Phir Apni Sari Taqat Us k Husool Pr Lagado Tum Zaror Kamyab Hojaoge,
Hazrat Usman Ghani R.Z
Jo Shakhs Tumhari Nigahon Se Tumhari Zarorat Ko Samjh Nhi Skta, Us se Kuch Mang Kr Khud Ko Shrminda Na Kro,
Hazrat Ali R.Z…
kahan milti hai wafa in matti k haseen insanoon se
yeh log bina matlab k KHUDA ko b yad nai kerty
Ek Din Humare Aansu Hum Se Pooch Bethe
''''Humain Roz Roz Kyun Bulate Ho ? ''''
Hum Ne Kaha
''''Hum Naam-e-Hussain Lete HYn . . . Tum Khud Hii Chale Aate Ho''''