Ghuroor Tuut Gaya Ko

Ghuroor Tuut Gaya Ko
Ghuroor Tuut Gaya Koi Martaba Na Mila

Sitam K Baad Bhi Kuch Hasil-e-Jafa Na Mila

Sir-e-Hussain Mila Hy Yazeed Ko Lekin

Shikast Ye Hy K Phir Bhi Jhuka Hua Nahi Mila
  

Jun, 16 2010     173 chars (2 sms)     2364 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

So Baar Legaye, Sare Baazar Muflisi
Har Baar Mene Apna Aqeeda Bacha Lia
Mene Parhi Thi Apni Hifazat ke Waste
Naad e Ali ne Sara Ilaqa Bacha Lia
Dushmanaane Haider Ko Jo Qareeb Rakhte Hain
Mera Aisay Logon Se Faasla Zaroori Hai

Ahlubayt ke Haq Baat Jab Bhi Aaye gi
Har Ghadeer Wale Ka Bolna Zaroori Hai
"Ain" woh "Ain" k jis"Ain" say Ibadat ka saranjam hoa,
"Laam" woh "Laam" k jis "Laam" say ISLAM hoa,
"Ye" say Yawer hoay har ek mushkil mein,
SADQE Islam k kya khoob ALI naam hoa,
Hussain teray lahoo ki khusbo falak k daaman say arhi hay

ye khoon-e-nahaq hay khun chupay ga?

jissay ye dunia chupa rahi hay
DAITA HO ASEERE MEIN JO PAIGHAM-E-REHAII

TAREEKH MEIN AISA KOI QAIDI B KAHA HAI?

BAZAAR MEIN ABID(as) KO GUZARTE HUE DEKHO

ZANJEER KE JHANKAAR B AKBAR(as) KE AZAAN HA..
Sar gair k Aage na jukane wala

Aur Nezey pey bhi Quraan sunaney wala

Islam se kya poochte ho kon Hussain

Islam ko Islam banane wala . . .
Mola ke malangon ki taqdeer hay Jannat!!!!

Hasnain Shareefain ki jageer hay Jannat!!!!

Jannat ki zarorat ho jisay mangay Dua woh!!!!

Mere liye har Majlis-E-Shabbir hay Jannat!!!!
Mazahar_e_sanat_wahadat ko Ali(a.s) kahtey hain
Waris_e_ilam_e_nabwat ko Ali(a.s) kahtey hain
Sun k farman_e_mohamad(saw) phir kaha hum ney
Hum to ALLAH ki ibadat ko Ali kahtey hain
Abhi tou zulm ka qissa tamaam hona hay.
Hussainiat ko abhi gaam gaam hona hay.
Jo ho raha hay sitam uski shaam hona hay.
Karo na fikr Zahoor-e-Imam hona hay.
Mujhe Ali Ki Zarorat Hai Her Kadam Ya Rab
Mujhe Ali K Sewa Koi Aasraa He Nahi

Bataiye Kis Tarha Jannat Main Aap Jain Gain
Dar-e-Ali K Sewa Koi Raasta He Nahi
Aamad e Qasim hoi hay mujtaba ki gaud me
Khud hassan aye thay jaisey murtaza ki gaud me
Bha gai qasim ki surat jab zameen k chand ko
ye kaha yun saatwin me chaudwin ka chand ny
hay pisar qasim hassan ka fatima ki gaud me
Aisa lag raha k chaand agay hy chaand ki gaud me
Ta'ajjub Hai:

KHUDA Apni Itni Sari Makhlooq Me Se Bhi
Meri Choti Se Choti Zaroorat Nhi Bhoolta.

Or

KHUDA To Ek Hi He,
Phir Bhi HUM Use Bhool Jate Hain.