Durood Zinda Hai Apna Salam Zinda Hai
Khuda K Saath Mohammad(SAWW)Ka Naam Zinda Hai
Tumhara To Koi Murda Bhi Ab Nahi Koi
Humein Hai Fakher K Humara Imam(A.S)Zinda Hai.
jo bhi Darakht-e-Bughz-e-Ali mein ataak gaya
wo shakhs Rahe-e-Den-e-Khuda say bhatak gaya
Kausar ki simt Shaikh jee Lapkey to they mager
Saqi Ali hei deakh ker Chera Latak gaya
Allah woh bhi waqt zamaney me laye ga
Dhonday say bhi nishan na batil ka payega
Khamosh is tarhan say jo rahey gi Kitab e Haq
Duniya me bolta huwa Quran Ayega
para''ey des main bhi apni seekhoon dhoond letay hain
Ali waalay Ali waalon ki khushboo soongh letay hain
naajanay musalmaanon ko nazar kiyun nahin aatay
fazaail to meray Maula k hindu dhoond letay hain