Zameen E Haq Pe Hasad se shigaaf Mat kijeay
Amal ko Hukum E Khuda k Khilaaf Mat Kijeay
ALi(a.s) Ka Bughz Mila Hai Agar wirasat me
Tu Kaba Ghar hai ALi(a.s) Ka Tawaaf Mat kijeay
Ye Aitbaar Meri Zindagi Ka Haasil Hai
Ibaadaton Ke safar Ki Hussain Manzil Hai
Namaz Main Bhi Tasavvur Hussain Ka Rakho
Ya Ye Kaho Ke Nabhi Ki Namaz Baatil Hai
Humko Ali(as) Ke Ishq Ne Aala Banaadiya!!!!
Qatra Tha Hussain(as) Ne Dariya Bana Diya!!!!
Jab Maatami Libhaaz Kiya Humne Zeb-E-Tan!!!!
Humko Gham-e-Hussain(as) Ne Kaaba Banadiya!!
seenay me jo abbas k kadmo ki dhamak hy
Heabat in dhamak ki sir e aarsh talak hy
Yeh keh k guzarta hy garajta huwa badal
Bijli mairey Abbas k lehjay ki karak hy
Ali(a.s) ke dar pe jo aata hay wo jaata nahain khali.
Ke is dar se hi hoti hay sab hi ki door bad hali.
Ali (a.s) pyar kitna hay meray Allah ko dekho.
Ali (a.s) ke dushmano ko dekh ke dozakh bana dali.
Abhi tou zulm ka qissa tamaam hona hay.
Hussainiat ko abhi gaam gaam hona hay.
Jo ho raha hay sitam uski shaam hona hay.
Karo na fikr Zahoor-e-Imam hona hay.
Kabbah Ali(a.s) k faiz se gulzaar ban gaya.
but khanay se jo badla bawaqar ban gay...
Kabba Ali(a.s) ka shukir manay k wastay...
kala libass pahn k azadar hogaya...
Apnay Dukhoon mein aya jo sHAHBIR(A.s) ka khayal
shikwa tarap ke shukar mein tabdeel hogaya
Har ghum mein KARBALA ne sahara diya humay
Har ghum GHUM e HUsAIN(A.s) mein tehleel ho gaya
Jis Ne Aal e Nabi Ko sataya
Jis Ne Bint E Nabi Ko Rulaaya
Bil Yaqeen Bad Nasab Hai WO Insan
Jis Ne Qaul e Nabi ko Bhulaya
Noor Ko Noor Mana Na Jisne
Ta Qayamat Wo Andha Rahega
Jis ne Mun Mora Mushkil Kusha se
Door Hogaya Phir WO Khuda se
Jis Ki Wabastagi Hi Nahi Hai
Ab Bhi Darwaaza e sayyida se
Dehr Me Darbadar, Zindagi Bhar
Thokerain Yuhin Khata Rahega