Abhi tou zulm ka qissa tamaam hona hay.
Hussainiat ko abhi gaam gaam hona hay.
Jo ho raha hay sitam uski shaam hona hay.
Karo na fikr Zahoor-e-Imam hona hay.
jo bhi Darakht-e-Bughz-e-Ali mein ataak gaya
wo shakhs Rahe-e-Den-e-Khuda say bhatak gaya
Kausar ki simt Shaikh jee Lapkey to they mager
Saqi Ali hei deakh ker Chera Latak gaya
shaheed mertey nahi aur Hussain jesey shaheed......
hum is yaqeen ko haq aagahi samajhte hain......
hamari palkon per aanson nahi charaghan hain....
ghame Hussain ko hum roshniii samajhte hain...........
Khazanay ki jo zeenat ho usay ALMAAS kehtay hain
Tamana pani ki hoti hay toe PYAAS kehtay hain
Jahan peety jain sub pani usy kehtay hain sub darya
Jo darya ko pilata hoo usay ABBAS (A.S) kehtay hain!