Kabbah Ali(a.s) k faiz se gulzaar ban gaya.
but khanay se jo badla bawaqar ban gay...
Kabba Ali(a.s) ka shukir manay k wastay...
kala libass pahn k azadar hogaya...
Acha dost kitni dafa hi kyun na ruth jaye ussey mana lena chahiyeh kyun ke tasbeeh ke daney kitni dafa hi kyun na bikher jayein chun liye jatey hein Hazrat Ali (A.S)
jo bhi Darakht-e-Bughz-e-Ali mein ataak gaya
wo shakhs Rahe-e-Den-e-Khuda say bhatak gaya
Kausar ki simt Shaikh jee Lapkey to they mager
Saqi Ali hei deakh ker Chera Latak gaya
Ab is se barhke kya hai Fazilat HUSSAIN kee,
Jahan kar raha hai Midhat HUSSAIN Kee,
Hum lege Karbala ke Shahidon Ka Inteqam Mahshar me,
Jab lagegi adalat HUSSAIN kee.
Jis Ne Aal e Nabi Ko Sataya
Jis Ne Bint E Nabi Ko Rulaaya
Bil Yaqeen Bad Nasab Hai WO Insan
Jis Ne Qaul e Nabi ko Bhulaya
Noor Ko Noor Mana Na Jisne
Ta Qayamat Wo Andha Rahega