Tamanah yeh mere ta umar-e- zindagi rahe gi
Her namaz main bas yehi dua Allah kay guzar rahe gi
shamil mujhe karley MOla apni foj main
Phir dekhna kis Munkir-e-Ali(A.s) ki garden dhar per rahe gi
Aamad e Qasim hoi hay mujtaba ki gaud me
Khud hassan aye thay jaisey murtaza ki gaud me
Bha gai qasim ki surat jab zameen k chand ko
ye kaha yun saatwin me chaudwin ka chand ny
hay pisar qasim hassan ka fatima ki gaud me
Aisa lag raha k chaand agay hy chaand ki gaud me
aale nabi ka zikr tha jin wakiyaat main
who wakiyaat miltey nahin hai Deeniyat main
jin par fakeer bheek bhi mangtey nahn
woh naam shamil hogaye islamiyat main
Maqtal Mai Dono Hath Kataney Ke Bawjood...... Abbas Tere Hath Mai Bazi Hai Aaj Tak..... Tune Badal Ke Rakh Diyea Mana Hayat Ke...... Tu To shaheed Hoke Bhi Ghazi Hai Aj Tak
Hassan ko Badshah khas o Aam kehte hain
Ali ka Naaib o Qaim Muqaam kehte hain
Daleel aik hi kafi hai unki Azmat may
unhe Hussain bhi apna Imam kehte hain
Zarurat Thi Talwaar Ki Na Aur Kisi Hathiyar Ki
sirf Ek Dua Thi Karbala Main Alamdaar Ki
Fakat Mil Jaye Ijazat Aqa Hussain sai
To Yaad DilaDunga Jung Haider-e-Karrar Ki
Aye Jhoot Ke Fatwoon Ki Dukan Kholne Wale
Farman-e-Payumber Ko Na Is Tarah Bhula De
Hum Matam-e-shabbir se Ruk Jain Gay Aye Dost
shabbir-o-shareeyat Main Zara Farq Bata De