DIL HAI K MUsALsAL YEH DUA MANG RAHA HAI
PHIR sAY sAFAR E KERB-O-BALA MANG RAHA HAI
sHABEER a.s K MAQTAL sAY ABHI TAK sAR-E-MOMIN
sAJDON K LIYAY KHAK-E-sHIFA MANG RAHA HAI
Taqat-e-Matam-e-shabbir say la ilm hay tu,,
Yai woh jadu hay jo aag per bhi chal jata hay,,
Jis dum kartay hain mawali aag per matam,,
Un ko kuch nahi hota aur tu jal jata hay..
Ab isse barhke kya hai Fazilat HUssAIN kee,
Jahan kar raha hai Midhat HUssAIN Kee,
Hum lege Karbala ke shahidon Ka Inteqam Mahshar me,
Jab lagegi adalat HUssAIN kee.
Zikre-e-shabbir Dhamakon sey Dabaney Waley
Kitney Nadaan hain shion ko Daraney Waley
Ghaib sey aati hai ya sada-e-Mehdi (As)
Zikre-e-shabbir Karo hum ney bachaney waley
Ek Din Humare Aansu Hum se Pooch Bethe
''''Humain Roz Roz Kyun Bulate Ho ? ''''
Hum Ne Kaha
''''Hum Naam-e-Hussain Lete HYn . . . Tum Khud Hii Chale Aate Ho''''
Dasht-e-Bala ko Arsh ka Zeena Bana diya
Jungle ko Mustafa ka Madina Bana Diya
Har Zarrey ko Najf key Nagina Bana Diya
Aye Husain Tum ney Marney ko Jeena Bana Diya
Nam-e-ghazi se khushbu-e-wafa aati hai.
Un k rozy sy Ya Hussain(A.s) ke sada aati hai.
Jab b bathay hain hum ABBAs kpercham k tale.
Aisa lagta hai janat ay hawa aati hai.
Mumkin nahi hai kisi sy adaawat Hussain(A.s) ki.
sansoon mein but rahi hai sakhawat Hussain(A.s) ki.
Bazar k Khajoom se keh do chup rahe.
Quran kar raha hai talawat Hussain(A.s) ki.