Manaoo jashan k

Manaoo jashan k
Manaoo jashan k kaabay me Ali arahey hain
Khudda k ghar say botoon ko bhaga rahey hain
Dewar e kabba nay haans k kaha khudda ki kasam
Mujhey Ali tawaaf k qabil bana rahey hain
  

Jun, 15 2010     179 chars (2 sms)     2030 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

Mehraab par Ali(AS) hein to mimbar pe bhi Ali(AS)
Ka''aba gawaah dosh-e-Payambar(SAWW) pe bhi Ali(AS)

Khandaq, Uhad, Hunain to Khaibar mein bhi Ali(AS)
Hijrat ki shab Rasool(SAWW) k bistar pe bhi Ali(AS)

Har jaa Ali(AS) mileingay na daaman bachaiye
Bachna Ali(AS) se hai to jahannum mein jaaiye
Yazeed Mausam e Isyaan ka La-ilaaj Marz
Hussain Khaak ko Khak e Shifa Banata Hai

Yazeed Aaj bhi bantay hai log Koshish Say
Hussain Khud nahi banta Khuda Banata Hai
Fanaa k Baad b is Rasam Ko nibhaein gein
Lahad mein ja k b hum tera Ghum Manaein gein
Nishaaan ABBASS ka turbat pe hum laga dein gein
Hussain teri sadaqat pe sir kata dein gein.
Milta nahi hai koi sahara yazeed ko
BIBI(A.S) ne is tarha se ujara yazeed ko
Khatoon thi is liye jung kar nahi sakti
Khutboo k zulfiqar se mara yazeed ko
Phir Aaj ''''HAQ'''' K Liye Jaan Fida Kare Koi

Wafa Bhi ''''JHOOM''''Uthe Yun Wafa Kare Koi

Namaz ''''1400 Saalon'''' Se Intizar Main Hai

''''HUSSAIN'''' Ki Terha Mujh Ko Adaa Kare Koi . . .
Mujhe Ali Ki Zarorat Hai Her Kadam Ya Rab
Mujhe Ali K Sewa Koi Aasraa He Nahi

Bataiye Kis Tarha Jannat Main Aap Jain Gain
Dar-e-Ali K Sewa Koi Raasta He Nahi
Kat kay bhi sab se jo ooncha hai wo sar kis ka hai

Lut k abaad hai ab tak wo jo ghar kis ka hai

Takht walon ne muar''rikh bhi khareede honge

Zikr dunia main magar shaam-o-seher kis ka hai
King is Hussain, King is Hussain,

Religion is Hussain, The protector of Religion is Hussain,

Who gave his head, and not his hand to hand of Yazid,

Verily Hussain is the foundation of "La''ilah.”


[Hazrat Khawaja Moin-ud-Din Chishti Ajmeri]
Yazeed Se Pucho k
Tera Raaj Kahan Hy ?

Wo Khoon Se Aaluda
Tera Taj Kahan Hy ?

Zinda Hy Hussain
Hamesha Hi Rahe Ga !

Yazeed La''anat k Siwa
Teri Yaad Aaj Kahan Hy ?
Sab k sab aala nasab silsila hy aik sa
Ibtida hyder say hy Mehdi pay hy inteha
Chotay barey ka sawal in me huwa hy na hoo
Dada bhi laftah pota bhi mushkil khusha
Aye mah-e-ramzan aahista chalna
humen khasa qaraz chukana hai,

kuch khuwab hai jinko likhna hai
aur taaberon ko pana hai,

kuch log hain ujray dil wale
un sab main pyar basana hai,

aur khiza raseda aangan main
ab aman ka beej lagana hai,

or rab ko humen mana'na hai
humen khasa qaraz chukana hai...
mairey imam say behtar koi imam nhn
yeh woh qalam hy jis say behtar koi kalam nhn
woh khush naseeb hy jo hy ghulam e haider
woh badnaseeb hy jis k ali imam nhn