ghar SMS Messages779 messages

Santa: Qutub Minar kahan hai?
Pappu: Pata nahi.
Santa: Kabhi ghar se nikla karo.
Pappu: Ram Lal kaun hai?
Santa: Pata nahi.
Pappu: Kabhi ghar me bhi raha karo.
Dunya ka sab se Romentic Mulk kon sa hai??????
.
.
.
.
.
Pakistan Kyun?
?
?
kyun ka yahan har ghar me
rozana candle light dinner hoti hai.
thank you Wapda
Sardar ka Padosi Mar Gaya:

Wo Uske ghar Gaya or Pucha: Body Aa Gai Kya?

Tabhi Body Lekar Ambulance Aa Gayi.


Sardar: Lo Batao,




Kitni Lambi Umar Hai. :-)
Professor to Students: "1 platform 2km lamba hy, Aandhi chal rahi hy 60km/h ki speed se, aur 1 train aai aur mashriq se maghrib ki taraf chali gayi. tou ab sawal yeh hy k meri umar kitni hy?"

Saaray Students hairaan ho kar aik doosre ki taraf dekhne lagay, 1 Student ne jawab dene k liye haath kharra kiaa.

Student: Sir apki umar 42 saal hy.

Professor: Good, lekin tum ne kese calculate kiaa?

Student: Sir humare ghar k pass 1 aadmi rehta hy, woh half mental hy aur uski umar 21 saal hy....
Basti mein hai wo sannata k jangal maat lagy..
Shaam dhaly bhi ghar pohanchon to aadhi raat lagy..
Khat mein dil ki batein likhna achi baat nahi,
ghar mein itnay log hein jaany kis k haath lagy…
Un sy bichray dil ko ujray barson beet gaye,
Aankhon ka ye hal abhi tak kal ki baat lagy…
Mutthi band kiye baitha hon k koi daikh naa ly,
K chaand pakarny ghar sy nikla “jugnoo” haath lagy
Wo ojhal meri nigahon se kahan rehta hy
Wo ashk ban kar Aankhon se rawaan rehta hy

Kisi lamhy tanha honay nahi deti uski yadein
Mere Aangan mein melay ka samaan rehta hy

Her gharri dil ka daricha khula rakhty hain
Her gharri us ke aanay ka gumaan rehta hy

Log kehty hain zakham bhar jatay hain aakhir
Zakham bhar jatay hain lekin nishaan rehta hy

Wo milay to itna bata dena usko
Tujh bin Tera pyar preshaan rehta hy
matti ke jitne ghar main banata chala gaya
ik shaks khafa ho ke girata chala gaya
woh mujse buhat door door bhagta raha
jitna main uske naaz uthata chala gaya
ik mere waste he osne dard rakhe the
baki to wo har ik ko hasata chala gaya
thi haath main taqat magar dil nahin mana
uske siwa main subko harata chala gaya
dil main oski yaaad ke jitne chiragh the roshan
onko bhi wo sitmgar bhujata chala gaya
Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta

Mandeiron Se Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta
Koi Ik Adha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai

Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta
Sakoon Unko Nahi Milta Kabhi Pardes Bhi Ker

Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Ker Kuch Nahi Milta
Issay Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar

Samandar Ke Kinare ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta
Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen

Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta
Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai

Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta
Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi

Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta.
Saal Ka Aakhri Din Hy

Abhi Kuch Dhuup Hy Lekin

Zara Si Dair Ko Tey Hy k
Aakhir Shaam Hona Hy

Haqeeqat Ya Kahani Jo Bhi Hy
Anjaam Hona Hy

Chalo Mil beth Ker Apne
Khasare Baant Lete Hyn

Sab Hi Rung aur Jugnuu Aur
Sitaare Baant Lete Hyn

Zara Si Dair Ko Tey Hy k
Aakhir Shaam Hona Hy

Haqeeqat Ya Kahani Jo Bhi Hy
Anjaam Hona Hy

Tou Kyun Na Kuch Shaam Se Pehly

Jo Kuch ghariya'n Muya'asar Hyn

Unhii Mein Zindagi Ker Le'n

Kisi Ehsaas Ki Sham'ma Jala K

In Andhero'n Mein

Koi Daam Roshni Ker Le'n

Chalo Hum Dosti Ker Le'n

Zara Si Dair Ko Tey Hy k
Aakhir Shaam Hona Hy

Haqeeqat Ya Kahani Jo Bhi Hy
Anjaam Hona Hy ... !!!
Zakhm dil ka kise dikhyen hum
Dosti kiski aazmayen hum
Zabt kARNe ki dal lain aadat
ghar ki deewar kya uthayen hum
Maslahat ka yahi takaza hai
Jo wo kahte hain maan jaayen hum
Berukhi humse ho nahi saktee
Bhool jayen teri khatayen hum
lab pe rakh kar hansi dikhawe ki
Dard-e-dil kab talak chupayen hum
Tod dete hain ghar ke log ise
Khwab palkon pe kya sajayen hum.
Main Lauton ga December main


December Jab bhi ata hai
wo pagli...
phir se beety mosumo'n ki
talkhion ko
yad karti ha
purana card perhti hai
k jis main os ne
likha tha
Main Lauton ga December main


Nai Kapry bnati hai
wo sara ghar sjati hai
December k her ik din ko
wo gin gin ker bit'tati hai
junhi 15 guzarti hai
wo kuch kuch toot jati hai
magar phir bi
purani albumo'n ko khol ker
mazi bulati hai !!!
nahi maloom ye osko
k beety waqt ki khushian
Bohat takleef deti hain
mehaz dil ko jalati hain...
yunhi din beet jaty hain
December laut jata hai
magar wo Khush feham larki...
dobara se calendar main
December k maheeny k safhy ko
mord ker, phir se
Phir se
December ke sahar main
Doob jati hai
k akhir os ne likha tha....

Main Lauton ga December main
Husband- Ek writer ne likha hai ki "Shohar ko bhi ghar ke mamlo mein bolne ka haq hona chaahiye..."
Wife- Woh bechaara bhi dekho likh hi paya, Bol Nahi Saka.!