December Jab bhi ata hai wo pagli... phir se beety mosumo'n ki talkhion ko yad karti ha purana card perhti hai k jis main os ne likha tha Main Lauton ga December main
Nai Kapry bnati hai wo sara ghar sjati hai December k her ik din ko wo gin gin ker bit'tati hai junhi 15 guzarti hai wo kuch kuch toot jati hai magar phir bi purani albumo'n ko khol ker mazi bulati hai !!! nahi maloom ye osko k beety waqt ki khushian Bohat takleef deti hain mehaz dil ko jalati hain... yunhi din beet jaty hain December laut jata hai magar wo Khush feham larki... dobara se calendar main December k maheeny k safhy ko mord ker, phir se Phir se December ke sahar main Doob jati hai k akhir os ne likha tha....
Kuch Na Kehna Chup Chup Rehna Ye b Ek Udasi Hy. Hans k Saray Sadmay Sehna Ye b Ek Udasi Hy. Bethay Bethay Kho Sa Jana Yun Hi Dur Khyalon Main. Chalte Chalte Hanste Rehna Ye b Ek Udasi Hy. Maar k Kankar Lehrain Gin'na Beth k Jheel Kinaray Pr. Kuch Logon Ka Hy Ye Kehna Ye b Ek Udasi Hy…
Manzelain bhi uski thi, rasta bhi uska tha Ek mai akela tha qafila bhi us ka tha Sath sath chalney ki soch bhi uski thi Phir rasta badalny ka faisla bhi uska tha Aaj kion akela hon, Dil sawal karta hai Log tu usi ke tay, kia Khuda bhi uska tha