Lot aaye...

Lot aaye...
Lot aaye...


Usey kehna December aa gaya hai..
December k guzartay hi..
Baras ek aur mazi ki ghupa mein doob jaaye ga..
Usey kehna December laut aaye ga..
Magar jo khoon so jaayega jismon mein na jaaye ga..
Usey kehna hawayen sard hain..
Aur zindagi k kohray deewaroN main larzaan hain..
Usey kehna shagoofay tehniyon mein so rahay hain..
Aur un par barf ki chadar bichi hai..
Usey kehna agar sooraj na niklay ga..
To kaisay barf pighlay gi...
Usey kehna..
KI...
Lot Aaye...!
  

Dec, 22 2011     476 chars (3 sms)     3830 views       Sad

more Sad SMS Messages

khali hathon ko kabi gor se dekha hai faraz
kis tarha log lakeron se nikal jate hain
Jis ke liye sab kuch luta diya humne,
wo kehte hai unko bhula diya humne,
gaye the hum unke aansu pochne,
ilzam de diya ki unko rula diya
humne.
Hamari khamoshi hamari aadat hai,
In duriyo me bhi hamari chahat hai,
Hamari zindgi agar khubsurat hai,
To ushki wajah aapke mushkrahat
hai.
Ab To Aankhon Me Sameti Nhi jati Koi Surat MOHSIN
KAASH Me Ne Usay Ghour Se Na Dekha Hota
BetabiYan Smait K Sare Jahan Ki

Jab Kuch Na Ban Saka To Mera Dil Ban Gea
Tera dard tha, teri yad thi,
Main jahan raha,
Main jidhar gya,
Mera din too yunhi guzar gya,
Hui shaam too main bikhar gya, Is abr ka mere yaar se......
Bara milta julta mizaj hai,
Kabi toot kr baras gya, kabi berukhi se guzar gya,
Jab main chhor jaunga wo gali,
Use yaad aye gi tub meri,
Khoje ga jab wo idhar udhar,
To khabar mile gi main mar gia.....!
Tumhari bat lambi
Hay.
Daleelain hain
Bahanay hain


Hmari bat itni hy
K
Hmari zindge tm hu.
'' USEY KEHNA''
Hum na Ukfat ka bharam sub sa juda rakha hay,
Goya seena ma tuja DIL ki jaga rakha hay.
DIL ya chaha k tu kabi badnaam na ho,
Dakh zikar tera hay pr naam chupa rakha hay.
Mera jis haath sa kiya tha tu na musafa,
Dhoya hi nahi honton sa laga rakha hay.
Ab ma samjha tera Rukhsar pa Till ka matlab,
Doulat-e-Husn par darbaar betha rakha hay.
JUDA ho gaye kuch pal k liye to kya hua,
Tari TASVEER ko seenay ma saja rakha hay.
DECEMBER

*Sunehri Shamein,
Thatharti Ratein,
Mehekti Coffee,
Woh Bheeni Khushboo,

Khamosh Kamra,
Aatish Daan Sulaghta,
Mein Aur,
Teri Yaadon Ki Khushboo,

Haan Yehi DECEMBER Hai.
Badalti rut ka ishara dekhte hain

Ab kaise ho ga guzara dekhte hain

Muhabbat ki yeh rasam bhi kitni ajeeb hai

Jaane wale palat kar dobara dekhte hain

Doobne waale doobne se zara pehle

Aik ummeed par kinara dekhte hain

Teri Khudaai se gilah hone lagta hai

Jab duniya men koi be-sahara dekhte hain

Kya muhabbat hamain bhi raas aaye gi
"Sajid"

Aao apna apna sitara dekhte hain.
*. . .Kis Tarah Samjhaun Yeh Baat Ahl-E-Duniya Ko. .? ?

mOhS!n

Teri Talaash Ko Yeh Duniya Awaargi Samajh Bethi. . .*
Har taraf har jagah beshumar aadmi
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi
Subah se shaam tak bojh dhota hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi
Har taraf bhaagte daudhte raaste
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi
Roz jeeta hua roz marta hua
Har naye din naya intezar aadmi
Zindagi ka mukkaddar safar dar safar
Aakhri saans tak bekaraar aadmi