asa ku hota hy.

asa ku hota hy.
Jane Duniya Me Aisa Kyu Hota Hai,
Jo Sab Ko Khusi De Wahi Rota Hai,
Umar Bhar Jo Sath Na De Sake Wahi,
Zindagi Ka Pehla Pyar Kyu Hota Hai.
  

Aug, 29 2012     141 chars (1 sms)     2423 views       Sad

more Sad SMS Messages

Manzil bhi us ki thi,Rasta bhi us ka tha
Ik mein akela tha,Kafila bhi us ka tha
Sath sath chalny ki soch bhi us ki the,
Phir rasta badalny ka faisla bhi us ka tha
Aaj ku akela hoon,Dil sawal karta hai
Log to us k thy,Kia khuda bhi us ka tha,
kon kis k sath kitna mukhliss hay
waqat har rishty ki bata deta auqaata hay
Tanha zindagi mai chal rahi hon to kya howa
Ay dost
Janazy main hoga sara shaher dekh lay na
Meri Maut Hai Meri Hamsafar Meri Zindagi Bhi Ajeeb Hai
Meray Charo'n Tarrf Hai Jalwa Garr Teri Be Rukhi Bhi Ajeeb Hai

Mera Dard Hai Lab E Aashna Teri Ranjisho'n K Azaab Say
Meray Shair Hain Meray Chara Garr Meri Dil Lagi Bhi Ajeeb Hai

Jo Hai Ta'ana Zann Meri Zaat Par Mujhay Unsay Koi Gila Nahee'n
Mujhay Jaan Say Hain Azeez Tarr Meri Dosti Bhi Ajeeb Hai

Mai Lahoo Jigar Say Guzar Kar, Tujhay Naql Karta Hoo'n Warq Warq
Hai Qalam Ki Nauk Say Mukhtasar Teri Aagahee Bhi Ajeeb Hai

Mai Peher Ki Tapti Hawao'n Say, Karhi Dhoop Mai Kharha Be Khabar
Saray Reh-Guzar Tera Muntazar, Meri Be Basi Bhi Ajeeb Hai
Kabhi shikaston ka dukh uthaye to us say pochon,
Woh meri manind toot jaye to us say pochon,
Usey bhi koi sitara manzil say door kar day,
Usey bhi koi rasta nazer na aey to us say pochon,
Safer main woh bhi kisi karey imtihan say guzrey,
Usay bhi koi yun azmaye to us say pochon,
Meri tarhan din charhey woh bhi soye salik,
Usey bhi raat bher neend na aye to us say pochon.
Manzelain bhi uski thi, rasta bhi uska tha
Ek mai akela tha qafila bhi us ka tha
Sath sath chalney ki soch bhi uski thi
Phir rasta badalny ka faisla bhi uska tha
Aaj kion akela hon, Dil sawal karta hai
Log tu usi ke tay, kia Khuda bhi uska tha
Har chehre par guman uska tha
basa na saka khali makan uska tha
lakho dard mit gaye dilse lekin
jo mit na saka wo ek naam uska tha..!!
'Zindagi' se poocho ye ka chahti ha
'Bus' aik zara si wafa chahti ha
'Kitni Masoom or Nadan ha zindagi
'Khud' bewafa ha or wafa chahti ha....
Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha,
Kashti Ke Musafir Ne Samundar Nahi Dekha,
Be-Waqt Jaungi To Sab Chonk Padenge,
Ek Umar Hui Din Me Kabhi Ghar Nahi Dekha,
Jis Din Se Chala Hoon Meri Manzil Par Nazar Hai,
Aankhon Ne Kabhi Meel Ka Patthar Nahi Dekha,
Ye Phool Koi Mujhe Virasat Mein Mile Hai,
Tum Ne Mera Kaanton Bhara Bistar Nahi Dekha,
Phathar Mujhe Kahta Hai Mera ChahneWalaa
Main Mom Hoon UsNe Mujhe Chhoo Kar Nahi Dekha...!!!
Khat Aisa Likha Hai Ke Nageene Jade Hai,
Wo Haath Ke Jisne Koi Zewar Nahi Dekha... * * * * *
Beginnings are scary.
Endings are usually sad,
but it’s the middle
that counts the most.
DECEMBER

*Sunehri Shamein,
Thatharti Ratein,
Mehekti Coffee,
Woh Bheeni Khushboo,

Khamosh Kamra,
Aatish Daan Sulaghta,
Mein Aur,
Teri Yaadon Ki Khushboo,

Haan Yehi DECEMBER Hai.
Bari anokhi Eid ki Kharidari hai Shehar i Quaid main
Log Ro Ro k kafan khareed rahe hain apne jan-nashino k Lye