sub kuch luta dia.

sub kuch luta dia.
Jis ke liye sab kuch luta diya humne,
wo kehte hai unko bhula diya humne,
gaye the hum unke aansu pochne,
ilzam de diya ki unko rula diya
humne.
  

Aug, 29 2012     148 chars (1 sms)     3341 views       Sad

more Sad SMS Messages

Yehi S0chte, S0chte Hum Sub,
Ek D0sre K0 Kh0, Dengay Ek Din,
"DOST"
W0 Mujhe Yaad, Nahi Karta T0,
Main Ussey Kyun, Yaad kar0n,....
Kabhi shikaston ka dukh uthaye to us say pochon,
Woh meri manind toot jaye to us say pochon,
Usey bhi koi sitara manzil say door kar day,
Usey bhi koi rasta nazer na aey to us say pochon,
Safer main woh bhi kisi karey imtihan say guzrey,
Usay bhi koi yun azmaye to us say pochon,
Meri tarhan din charhey woh bhi soye salik,
Usey bhi raat bher neend na aye to us say pochon.
Us Ajnabi Ka Youn Na Intezaar Karo,

Is Aashiq Dil Ka Na Aitbar Karo,

Roz Nikla Karen Kisi Ke Yaad Mein Aansoo,

Itna Kabhi Na Kisi Se Pyaar Kia Karo,
jb chotay the tb bhare hony ki
Bri chahti the..

Par ab pta chala


K..

Adhuray ehsas or totay sapnu se


Adhury homework or
Totay khelony
Ache thay..


Der lagi aane mein tumko shukr hai phir bhi aaye to
Aas ne dil ka saath na chhoda waise ham ghabaraaye to

Shafaq, dhanak, mahtaab, ghataayen, taare, nagmeiN, bijali, phuul
Uss daman mein kya kya kuch hai vo daman haath mein aaye to

Chahat ke badle mein hum toh bech de apni marzi tak
koi mile toh dil ka gahak, koi hamen apnaaye to

kyn ye mihr_angez tabassum madd-e-nazar jab kuch b nhi
haaye agar koi anjaan agar iss dhoke mein aa jaaye to

suni sunaai baat nahin hai apne upar beeti hai
phool nikalte hain sholoN se chahat aag lagaaye to

jhooth hai sab tareekh hamesha apne ko dohraati hai
achchha meraa khwab-e-jawani thoda sa doharaaye to

nadaani aur majbuuri mein yaaro kuch toh farq karo
ek bebas insaan kare kya tuut ke dil aa jaaye to....
Ho Gayi Dil Ko Teri Yaad Se Ik Nisbat_e_Khaas Mohsin..

Ab Tou Shayed Hi Muyassar Kabi Tanhayi Ho..!
Chehra Koi Bhi Aankh Mein Thehra Na Phir Kabhi,
Dil Ne Kisi Bhi Shakhs Ko Chaha Na Phir Kabh,
Rootha Zara Si Baat Pe Uth Kar Chala Gaya,
Aisa Gaya K Laut k Aaya Na Phir Kabhi,
Kuch Youn Mila Ikhlak Se k Bus Ishq Ho Gaya,
Wo Ajnabi Tha? Kon Tha? Socha Na Phir Kabhi..!!!
Hamdardiyan, Khuloos, Dilasey, Tasalliyan..!

Dil Tootney Ke Baad Tamashey Bohat Hoye...!!
*. .yaaaad. .*

Shab K Pichle Pehar Tak,

Main Leta Raha Hichkiyaaan,

Aur Phir So Gaye Tum. .*
*. . .Kis Tarah Samjhaun Yeh Baat Ahl-E-Duniya Ko. .? ?

mOhS!n

Teri Talaash Ko Yeh Duniya Awaargi Samajh Bethi. . .*
tu nay mujh say poocha hay, kay mein kesay rehta hon
yeh jo jalta dard sa hay, kesay usko sehta hon
sham dhalay dehleez pay bethay, kya tujhko ab bhi sochta hon
jab yad bikharnay lagti hay
aur sans attuknay lagti hay
jab sooraj gumm ho jata hay
aur chand bhi jalnay lagta hay
tu khud say poochnay lagta hon
yeh mein kesay rehta hon, dard ko kesay sehta hon.
mein kuch easay rehta hon
Har taraf har jagah beshumar aadmi
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi
Subah se shaam tak bojh dhota hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi
Har taraf bhaagte daudhte raaste
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi
Roz jeeta hua roz marta hua
Har naye din naya intezar aadmi
Zindagi ka mukkaddar safar dar safar
Aakhri saans tak bekaraar aadmi