qareeb maut khari

qareeb maut khari
qareeb maut khari hai zaraa thahar jao
qazaa se aankh lari hai zaraa thahar jao

thaki thaki si fazaayen bujhe bujhe taare
bari udaas ghari hai zaraa thahar jao

nahin ummeed ki ham aaj ki sahar dekhen
ye raat ham pe kari hai zaraa thahar jao

abhi na jao ke taaron kaa dil dharaktaa hai
tamaam raat pari hai zaraa thahar jao

phir is ke baad kabhi ham na tum ko rokenge
labon pe saans ari hai zaraa thahar jao

dam-e-firaaq mein ji bhar ke tum ko dekh to luun
ye faisale kii ghari hai zaraa thahar jao X
  

Jun, 09 2010     521 chars (4 sms)     3619 views       Sad

more Sad SMS Messages

mEin bataOn kia mujhE kia milaY
mujhE sabr hi ka sila milaY. . .
kisi aadahi ki rida milaY
kisi dard hi ka sila milaY. . .
kisi ghum ki dil mEin jagah milaY
jO mEra hai wOh mujhE aa milaY. . .
rahaY chaand u hi mEra jahan. . .
k yakeen mEIn badlaY mEra ghumaan. . .
Ankhe kyon hui meri num kabhi
sochna,
kyon hua hum pe itna sitam kabhi
sochna,
pyar to hum dono ne kiya tha,
lekin sirf mujhe he kyon mila itna gum kabhi sochna.
sham ki tanhai se koi faryad kr raha hai
dard ki gehrayioon sy koi bat ker raha hai

samjho on fizaoon ki chuban ko
aj pheer dil se koi tmhein yad ker raha hai
*. .yaaaad. .*

Shab K Pichle Pehar Tak,

Main Leta Raha Hichkiyaaan,

Aur Phir So Gaye Tum. .*
Wahi Ranjshein,Wahi Hasrtein
Na hi Dard-E-Dil Mein Kami Hui

Hai Ajeeb See Meri Zindagi
Na Guzar Saki,Na Khatam Hui
Q na saza milti hamain muhabbat main

kamii

aakhir hm ne b to bohat dil toray thy us shakhs ki khatir
Bari anokhi Eid ki Kharidari hai Shehar i Quaid main
Log Ro Ro k kafan khareed rahe hain apne jan-nashino k Lye
Har taraf har jagah beshumar aadmi
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi
Subah se shaam tak bojh dhota hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi
Har taraf bhaagte daudhte raaste
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi
Roz jeeta hua roz marta hua
Har naye din naya intezar aadmi
Zindagi ka mukkaddar safar dar safar
Aakhri saans tak bekaraar aadmi
Beginnings are scary.
Endings are usually sad,
but it’s the middle
that counts the most.
Mujhe apne barbad
Hone ka gum nahi,
Teri barbadi ka suna
Tu bohat roya.

Main ne Har pal har
Su tujhe Yad kia,
Jab Tujhe Apni Yad se
Gaafil paya tu bohat
Roya.

Ye zindagi
Ye Ronaqein
Ye ranjishein,
Jab in Sab me Tujhe
Tanha paya Tu bohat
Roya.

Main ne apne Dil k har
Konay me sirf tujh
ko hi Bsaya,
Tere Dil me Basa jab
Koi Or dekha Tu bohat
Roya.

zafar! Jaanta tha k To
Es k Nasib me nahi
Hai.
Lekin phir B tujhe khuda
Se Baar baar maanga Tu
Bohat Roya.
03459191007
¤My Life"My Poetry¤
Lot aaye...


Usey kehna December aa gaya hai..
December k guzartay hi..
Baras ek aur mazi ki ghupa mein doob jaaye ga..
Usey kehna December laut aaye ga..
Magar jo khoon so jaayega jismon mein na jaaye ga..
Usey kehna hawayen sard hain..
Aur zindagi k kohray deewaroN main larzaan hain..
Usey kehna shagoofay tehniyon mein so rahay hain..
Aur un par barf ki chadar bichi hai..
Usey kehna agar sooraj na niklay ga..
To kaisay barf pighlay gi...
Usey kehna..
KI...
Lot Aaye...!
Kamal ka shakhs tha jisne meri zindgi tabah kar di GHALIB
Raaz ki baat to ye hai k dil us se khafa ab bhi nahi hai