Kab usay intizaar mera tha......

Kab usay intizaar mera tha......
Kab usay intizaar mera tha
Ye to bas aetibar mera tha

Meri khush fehmi thi shayad
K us pe kuch ikhtiyaar mera tha

Kabhi uski bhi aisi haalat thi
Jaise dil-e-beqaraar mera tha

Ghamon mein qaid kar gaya mujhe
Wohi jo gham gusaar mera tha

Mein bhala kaise bhool jaon usay
Jo kabhi aik baar mera tha
  

Jan, 16 2012     301 chars (2 sms)     3145 views       Sad

more Sad SMS Messages

Khaas they kabhi nazroon mein kisi k hum bhi shayad,
Magar nazron k taqazay badalney mein dair kahan lagti hai
NAAM MAIN SHAMIL KHOON HAI, KHOON MAIN SHAMIL QATAL E TAMANA HAI. KARIEN KIS SAY SHIKAYAT JAHAN MAIN SHAH, LAGA SAB KAY HATON PAR APNI MOHABAT KA KHOON HAI........................
kiya likhon tery naam sajan
tuje sochon subho sham sajan
tm neeli jheel ka pani ho
mohobbat ki ek kahani ho
tm pyar ka meethe bol ho
tm hr ek se anmol ho
tm aasman ka badal ho
tm mari aankh ka kaajal ho
tm mere mann ki jeet ho
mere labon ka geet ho
tm chaman me khilta gulaab ho
chahat se likhi kitaab ho
tm mere liye mere sanam ho
jo toot na sake wo kasam ho
kiya likhon tery nam sajan
tumhe sochoun subho shaam sajan
Tanha zindagi mai chal rahi hon to kya howa
Ay dost
Janazy main hoga sara shaher dekh lay na
Badalti rut ka ishara dekhte hain

Ab kaise ho ga guzara dekhte hain

Muhabbat ki yeh rasam bhi kitni ajeeb hai

Jaane wale palat kar dobara dekhte hain

Doobne waale doobne se zara pehle

Aik ummeed par kinara dekhte hain

Teri Khudaai se gilah hone lagta hai

Jab duniya men koi be-sahara dekhte hain

Kya muhabbat hamain bhi raas aaye gi
"Sajid"

Aao apna apna sitara dekhte hain.
Us Ajnabi Ka Youn Na Intezaar Karo,

Is Aashiq Dil Ka Na Aitbar Karo,

Roz Nikla Karen Kisi Ke Yaad Mein Aansoo,

Itna Kabhi Na Kisi Se Pyaar Kia Karo,
Jane Duniya Me Aisa Kyu Hota Hai,
Jo Sab Ko Khusi De Wahi Rota Hai,
Umar Bhar Jo Sath Na De Sake Wahi,
Zindagi Ka Pehla Pyar Kyu Hota Hai.
matti ke jitne ghar main banata chala gaya
ik shaks khafa ho ke girata chala gaya
woh mujse buhat door door bhagta raha
jitna main uske naaz uthata chala gaya
ik mere waste he osne dard rakhe the
baki to wo har ik ko hasata chala gaya
thi haath main taqat magar dil nahin mana
uske siwa main subko harata chala gaya
dil main oski yaaad ke jitne chiragh the roshan
onko bhi wo sitmgar bhujata chala gaya
Tamaam din khud ko “SAMAITTAY” huway guzer jata hai
“Dost ”
Shaam ko us ki “YADAIN” mujhy phir tor diti hain..!!!
Gandum ameer-e-shehar ki hoti rahi kharab
Beti kisi mazdoor ki faqoon sy marr gai

*Youm-e-mazdoor*
Kaash bananay walay nay dil kaanch k banayai hotay
Kam say kam tornay walay k haath mein zakham tou ayai hotay
Ankhe kyon hui meri num kabhi
sochna,
kyon hua hum pe itna sitam kabhi
sochna,
pyar to hum dono ne kiya tha,
lekin sirf mujhe he kyon mila itna gum kabhi sochna.