Shooq

Shooq
Sirf Iss Shooq Mein Poochi Hain Hazaron Baatain

Keh Main Tera Husan, Husan-E-Biyan Tak Dekhon...!!
  

Oct, 04 2011     99 chars (1 sms)     2539 views       Sad

more Sad SMS Messages

Aaj mere "JANAZY" main sara shehr shareek tha FARAZ

jab kay kal hum tanhaiyon kay khoof sy mar gay......
Har taraf har jagah beshumar aadmi
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi
Subah se shaam tak bojh dhota hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi
Har taraf bhaagte daudhte raaste
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi
Roz jeeta hua roz marta hua
Har naye din naya intezar aadmi
Zindagi ka mukkaddar safar dar safar
Aakhri saans tak bekaraar aadmi
chahat main...


qurbat ki khatir...


chura kar...


vasl lamhon ki raanai...


wo phair leta hai nigahain...


aur de jata hai...


lambi hilr ki saatain...
Woh Keh Gaye Ki Mera Intezaar Mat Karna,
Main Kahu Bhi To Muj Pe Aitbaar Mat Karna,
Wo Kehte hai Ke Mujhe Tumse Mohabaat Nahi,
Par Tum Kisi Aur Se Pyaar Mat Karna.....!! !
A true relationship is not like the rain which pours and goes away

A true relationship is like the air sometimes silent but always around you?
Sirf Iss Shooq Mein Poochi Hain Hazaron Baatain

Keh Main Tera Husan, Husan-E-Biyan Tak Dekhon...!!
Kabhi Arsh Per Kabhi Farsh
Kabhi Un K Dar Kabhi Darbadar
Gham-E-Aashiqi Tera Shukriya
Main Kahan Kahan Se Guzar Gye
Jane Duniya Me Aisa Kyu Hota Hai,
Jo Sab Ko Khusi De Wahi Rota Hai,
Umar Bhar Jo Sath Na De Sake Wahi,
Zindagi Ka Pehla Pyar Kyu Hota Hai.
Sab K Hote Hue Bhi Tanhai Milti Hai

Yaado Mein Bhi Ghum Ki Parchai Milti Hai

Jitni Bhi Dua Karte Hain Kisi Ko Panay Ki

Utni Hi Ziyada Un Se Bewafai Milti Hai
Waqt Yaksaan Nahin Rehta Kabhi Sun Ly

Khud Bhi Ro Party Hain Auron Ko Rulany Waly...!!
Ankhe kyon hui meri num kabhi
sochna,
kyon hua hum pe itna sitam kabhi
sochna,
pyar to hum dono ne kiya tha,
lekin sirf mujhe he kyon mila itna gum kabhi sochna.
qareeb maut khari hai zaraa thahar jao
qazaa se aankh lari hai zaraa thahar jao

thaki thaki si fazaayen bujhe bujhe taare
bari udaas ghari hai zaraa thahar jao

nahin ummeed ki ham aaj ki sahar dekhen
ye raat ham pe kari hai zaraa thahar jao

abhi na jao ke taaron kaa dil dharaktaa hai
tamaam raat pari hai zaraa thahar jao

phir is ke baad kabhi ham na tum ko rokenge
labon pe saans ari hai zaraa thahar jao

dam-e-firaaq mein ji bhar ke tum ko dekh to luun
ye faisale kii ghari hai zaraa thahar jao X