ghar SMS Messages779 messages

ABBAS K Katey Baazu Ki Jab Wafa Yaad Aai

BINT-e-ZEHRA Tere Sar Ki Rida Yaad Aai

Dekha Jab Teer ALI ASghar K Halaq Par

Hoz-e-Kausar Ko Pyaaso''n Ki Sada Yaad Aai

Bujh Gaye Chiraag Jab ZEHRA K Laal K

Momin Ko MAULA Ki Aza Yaad Aai

Dekha Jab Sar-e-HUSSAIN Ko Nezey Ki Nok Pe

Mustafa(S.A.W) Tere Deen ki baqa Yaad Aai
Hussain Mera
Hussain Tera
Hussain Rab ka
Hussain Sab Ka
Hussain Gar na
Shaheed Hota
Tou Aaj ghar ghar
Yazeed Hota
Khuda k ghar Main
Azaan Na Hoti
Nabi[S.a.w] Ki
Sunnat Ada Na Hoti
aa aa ke zalzaloon ne musalsal zameen per
ASghar(a.s) tumhari qabar ko jhula bana dia
Barasti Barish Ko Dekh Ke Yeh Ihsas Hota Hai
Gham_Hussain Main Yeh Bi GhamGheen Hota Hai
Yeh Badlon Ka gharjna Yeh Bijli Ka Chamakna
Yeh Zor_e_Matam main aur Betaab hota hai

Dard-e-alam ka markaz-e-ehsaas bangaee
bay aas kafeley ke liye aas bangaee

din dhal gaya tu sham-e-ghareeba''n ke saath hi
Beti Ali ki Hazrat-e-Abbas bangaee

jo maatam ke sada say ghar sada anjaan rehta hhai

wahan rehmat nahi hoti wahan shaitaan rehta hai

khuda bhi door rehta hai farishtay bhi nhai atay

jahan majlis nahiii hoti wo gher weeran rehta hai
Betho Nabi(saww) ka pass jo farman chahiye
jao Ali(as) ke pass jo emaan chahiye
awaz de raha hai jahan ko mah-e-sayam
Zahra(s.a) kay ghar main aao jo quran chahiye
Manaoo jashan k kaabay me Ali arahey hain
Khudda k ghar say botoon ko bhaga rahey hain
Dewar e kabba nay haans k kaha khudda ki kasam
Mujhey Ali tawaaf k qabil bana rahey hain
Tareekh me duniyaTareekh me duniya ki wahid yehi manzar hy
Hansta huwa bacha hy roota huwa lashkar hy
Kya jang karun me insay Abbas e Jarii boley
In shaam ki foojon pe bhari maira Asghar hy
is wastay ali ko utara hy apney ghar
koi ali k samnay uff tak na kar sakey
aab tak nishan baqi rakha hy isiliye
devar shak rahey k koi shak na karsakey


Ali k wasf hyn itnay shumar kon karey
yeh kaam tairey hain parwardigar kon karey
yeh sooch kar na banaya khudaa nay or Ali
Shigaaf kaabey me aab bar bar kon karey
Har ibadaat hay meri yad e ali k saye me
kat rahi hy zindahi aulaad e ali k saye me
Moot khud mamoor hy meri hifazaat k liye
har ghari rehta hun main nad e ali k saye me
Zameen E Haq Pe Hasad Se Shigaaf Mat kijeay
Amal ko Hukum E Khuda k Khilaaf Mat Kijeay
ALi(a.s) Ka Bughz Mila Hai Agar wirasat me
Tu Kaba ghar hai ALi(a.s) Ka Tawaaf Mat kijeay