Professor to Students: "1 platform 2km lamba hy, Aandhi chal rahi hy 60km/h ki speed se, aur 1 train aai aur mashriq se maghrib ki taraf chali gayi. tou ab sawal yeh hy k meri umar kitni hy?"
Saaray Students hairaan ho kar aik doosre ki taraf dekhne lagay, 1 Student ne jawab dene k liye haath kharra kiaa.
Student: Sir apki umar 42 saal hy.
Professor: Good, lekin tum ne kese calculate kiaa?
Student: Sir humare ghar k pass 1 aadmi rehta hy, woh half mental hy aur uski umar 21 saal hy....
Sheikh Sb k betay ki shadi thi.. sub Mehman intizar kr rahe thy k kab sheikh sb khanay ka bolen gey.. Raat k 2 baj gaye to sheikh sb se bhi raha na gaya .. unho ne garamjoshi se kaha.. sub 4,4 ho ker beth jayen..sub mehman khush ho gay k khana khulney wala hy.. phir sheikh sb ne sub k agay Tash pattay rakh diye k khelo