Hoon SMS Messages1073 messages

Tumharay dam se thay sab rang o noor sab kaif o suroor
Tumharay baad tu sooraj ne aag bersaii
Kia khabar kon si zanjeer teray pairon main thi
Jo nibhaye nag aye piyar k waday tujh se
Wo jis ne khuaab bichaye thay teray rastay main
Wo shaksh ab bhi teri rah guzar main betha hai
Ja mujh ko agar chodd k jana hai zaroori
HaatHoon main teray haath hain zanjeer nhin hai
Diyaar-e-Noor Mein Meri Shaboun Ka Saathi Ho
Koi To Ho Jo Meri Wehshatoun Ka Saathi Ho
Main Oos Se Jhoot Bhee Bouloo''n To Mujh Se Sach Bolay
Meray Mizaaj K Saray Mousmou''n Ka Saathi Ho
Main Oos K Haath Na Aaoon Woh Mera Ho K Rahay
Main Gir Paroon To Meri Pastiyoun Ka Saathi Ho
Woh Meray Naam Se Motabar Thehray
Gali Gali Mein Meri Ruswayoun Ka Saathi Ho
Karay Kalaam Mujh Se To Meray Lehjay Mein
Main Chup RaHoon To Meray Tewroun Ka Sathi Ho
Woh Khawb Dekhy To Dekhay Meray Hawaalay Se
Meray Kheyal K Sab Manzroun Ka Saathi Ho...
Kuch likhna chahta Hoon...
Sochta Hoon kya likHoon.

Phoolon ki woh mehekti khusbu,
Barish ka woh bheega paani,
Aur hawa mein thi jo rawaani,
Kya us mausam ka khumaar likHoon???

Thi chehre par unki masoomiyat,
Aankhon mein thi thodi sharaarat,
Aur baaton mein woh nazaakat,
Kya unka rangeen mijaaj likHoon???

Unka aakar muskarana,
Jo rooth jaun to manana,
Jaate jaate phir rulaana,
Kya unka yeh andaaz likHoon???

Yaadon mein unki ashq bahaana,
Har shaam ek diya jalaana,
Soyi ummeed ko roz jagaana,
Kya unka yeh intzaar likHoon??
Koi ehsaas bhi usko yaad nahy
Koi baat bhi usko yaad nahy,
Ek shaksh ny usko chaha tha,
Wo zaat bhi usko yaad nahy,

Jab shab ki bijli chamki thi,
Aur badal toot k barsa tha,
Hum dono jis may bheegay thay,
Wo barsat bhe usko yaad nahy,

Wo sahil,darya, phool,hawa,
Wo wada sath nibhanay ka,
Aur shab bhar CHAND ko dekha tha,
Wo raat bhe usko yaad nahy,

Wo kehta tha may sunti the,
May kehti thi wo sunta tha,
Un lakHoon baton may koi,
Ek baat bhe usko yaad nahy.
Zameen par hai magar aasman jaisi hai
Woh narm narm see larki chattan jaisi hai
Meray haroof bhi jhootay hain meray jazbay bhi
Meri kahani bhi saray jahan jaisi hai
Yeh shaam mil k bicharnay ka ista-ara hai
Yeh raat hijar k kalay nishaan jaisi hai
Hawaein roz bhujaati hain khuwahishon k diye
Yeh zindagi bhi andheray makan jaisi hai
Mein apnay sath Hoon ya koi dosra hai ZIA
Yaqeen ki yeh ghari bhi gumaan jaisi hai
Mohabbat seekh ker kerna.
K bin seekhe mohabbat ka safar dushwar hota hai.
Girebaan taar hota hai.
Kabhi inkar hota hai Kabhi iqrar hota hai.
Mohabbat seekh ker kerna..
K bin seekhe mhabbat to serabon ki kahani hai
Dukhon ke raj-dhani hi
Jo kal ban jaay ga baadal
ye dariya ka wo pani hai.
Mohabbat seekh ker kerna...
K bin seekhe mohabbat to azab-a-zindgi thehri
Sharab-a-zindgi thehri
Na ho takmil jis ki wo
Kitab-a-zindgi thehri.
ISI KHATIR TO KAHTA Hoon KISI USTAD-A-KAMIL SE
MOHABBAT SEEKH KER KERNA
Tum Ne Kaha Tha Bade Yaqeen K Sath
Mujh Per Bharosa Karo
Bilkul Es Tarah
Jase Apny Ap Per Ho
Aur Main Ne
Dheerey Se Hans Ker Pucha Tha
Itna Yaqeen Kion?
Tab Tum Ne Meri Ankhon Main
Jhank Ker Kaha Tha
"Main Tumahri Manzil Ka
Sang E Meel Hoon"
Aur
Mian Tab Se Ab Tak
Jaty Qadmoon Ki Dhool Main
Es Sang e Meel Ko Talash Ker Rahi Hoon
Jo Tumahre Yaqeen Ki
Andhar Nagri Main Kaheen Kho Gia ha
Kaho ab kia kahon tum se
Bataao Kia likHoon tum ko
Mujhe tamheed do koi
Mujhe umeed do koi
Nia ik lafz ho koi
Jahan se baat chal niklay
Meri mushkil ka hal niklay
Bataao lehja kaisa ho
Keh tum se baat kerni hai
Tum apni roshan ankhon ko
Ager kholo to main likHoon
Tumhare lub se aye ga
Sukhan mein kateela pan
Tumhari ankhein day dein gii
Takhatub ko nasheela pan
Kaho ab kia irada hai????
Mujhe izhaar kerna hai
Keh betaabi ziada hai!
mujhy izhaar karna hai
Woh shakhs mujh ko jeet kay hara hai aur bus
Itna hi zindagi ka khasara hai aur bus

Kesay kaHoon keh us ka irada badal gaya
Such to yehi hai us nay pukara hai aur bus

Dunya ko is main dard ki shiddat kahan milay
Aankhon say toot’ta hua tara hai aur bus

Lafzon main dard e hijr ko mehsoos ker kay daikh
Kehnay ko main nay waqt guzara hai aur bus

Ab in main koi khwab sajanay nahi mujhay
Aankhon ko intazar tumhara hai aur bus

Main nay kaha keh khwab main dekhi hain barishain
Us nay kaha keh ik ishara hai aur bus.
Bheegi Palakain
AAnkhon Mein Laal Doray
Dard Say Chlakti Surkhi
Gaaloon Pay Phisaltey Motii
Lub Kaat“te Huwi
Main Aksar Ussay Bari
Mehwiat Se Dekhta Hoon
Pagli
Tujhe Kiya Maloom Tujhe Rula Kar
Main Marti Ankhon Mein
iss Jahan ka Husn Dekhta Hoon
Bay zubaan logon ko
Baqarar ankHoon ko
Badnaseeb qadmoon ko
Jis tarf bhi lay jain
Rastoon ki marzi hay

Bay nishan jazeeron per
Bad guman shehroon main
Bay zubaan musafir ko
Jis tarf bhi bhatka dain
Rastoon ki marzi hay

Ajnabi koi laa kr
Hum safar bana dalain
Saath chalny waloon ki
Raakh bhi urra dalain
Ye musaaftain sari
Khaak main milla dalain
Rastoon ki marzi hay

Rook lain ya barhnay dain
Thaam lain ya girnay dain
Wasal ki lakiroon ko
Tor dain ya milnay dain
Rastoon ki marzi hay
kisi ki yaad dil main hai koi ehsas baqi hai
badalte mausam ke darmiyan ek raz baqi hai

abhi main safar mein Hoon mile gi manzil mujhe
magar in raston kay darmian ek sath baqi hai

kahin pe sham dhalti ha kahin raat hoti
abhi to chandni hai chand ki raat baqi hai

chale aao kisi din tum hamara haal bhi dekho
hamara jism murda hai magar aik saans baqi hai

umeed hai phir bhi mile ga wo hamain aik din
khuda par hai bharoosa,khuda ki baat baqi hai