Hoon SMS Messages1073 messages

Mera Dil Agey Hi Toota Tha,Chalo Aik Darar Aur Sahi,Zakhmi Tha Jigar Pehley Se Hi,Kuch KHoon Ki Bondain Aur Sahi,Ankh To Thi Pehley Se Namm,Ashqoun Ki Barsaat Aur Sahi,Bohat Baar Girr Kar Sambhla Hoon,Chalo Aaj Aik Thokkar Aur Sahi,Khilona Samjh Kar Sabhne Khaila Hey,To Kia Howa, Aik Khail Aur Sahi,Aey Merey Bewafa Dost,Tera Aik Waar Aur Sahi,Loh Aaj Ghum Ke Waseeh Afsaney Main,Meri Aik Tehreer Aur Sahi.
Wafa Ka jo Ehad Humne Kia Wo Tor Mat Dena
Suno Haalat Kuch Bhi Hoon Chorh Mat Dena
Humare Paas Reh Jaye Bas Yaado''n K Sarmaya
Humari Chahat Ko Aisa Mor Mat Dena
Hum Na Samjhe Thay Teri Nazro’n Ka Taqaza Kia Hai
Kabhi Jalwa Kabhi Parda Ye Tamasha Kia Hai

Mujh Ko Madhosh Sa Kr Rakha Hai Teri Aankhon Ne
Werna Saaqi Tere Maikhaane Main Rakha Kia Hai

Dekh Le Laila Tere Majnu Ka Kaleja Kia Hai
Khaak Main Mil K B Kehta Hai Bigra Kia Hai

Ye Suraahi Sa Badn Le Ker Maire Saamne Na Aa
Main Sharabi Hoon Sharabi Ka Bharosa Kia Hai

Apne Honton Ko Maire Honton Se Chonay Na De
Ek Do GHoont Se Botal Ka Bigarta Kia Hai
Tumhain Ab Bhool Hee Jayen Tou Acha Hai
Yeh Faslay Aur B Barh Jayen Tou Acha Hai


Tumhari Chahatain Hum Ko Nahi Hasil
Tu Ab Ghair Hee Ban Jaye Tou Acha Hai


Humahre To Umer Guzri Hai Teri Chahat Main
Tu Is Aag Main Na Jalaye To Acha Hai



Barso''n Se Thi Dua K To Meray Sath Ho
Kehta Hoon K Ab Samna Na Ho Tera Tou Acha Hai



Rehta Tha Teri Mohabbat Ka Saya Humaray Sath
Ab Tou Apni Perchai B Na Ho Tou Acha Hai



Raiza Raiza Ho Chukki Hai Rooh Meri
K Badan Say Ab Nikal He Jaye Tou Acha Hai ..!!
Kaha Main Nay Kahan Ho Tum?
Jawab Aya Jahan Ho Tum...

Mere Jeevan Say Zaahir Ho
Mere Gham Mein Nihaan Ho Tum....

Meri Tou Saari Duniya Ho
Mera Sara Jahan Ho Tum.......

Meri Sochon Ka Mehwar Ho
Mera Zor-e-Bayaan Ho Tum......

Main Hoon Lafz Muhabbat Hoon
Magar Meri Zuban Ho Tum...
Tu Ne Wafa Ki Khaas Koi Guftugu Na Ki

Aur Maine Bhi Dil Ki Baat Tere Rubaroo Na Ki

Tu Bhi Tamam Umar DHoondta Raha Mujhe

Maine Bhi Tere Baad Koi Justuju Na Ki
***ADA E ISHQ***
Har lamhay ko is tarhaa main taay kar jaoon gi
Har ik pal mai tujhay apnay qareeb laoon gi

Mehsoos bhi na ker paiy ga tu mujhay humdum
Main teri sanss mai iss tarhaa bass jaoon gi

Guzarty hovey lamHoon ko ik yaad banatay huwey
Main teray her pal ko is tarhaa mehakaoon gi

Gar bhool na chahay bhi tu mujhay aaiy humnasheen
Jatay huwey teray chehray pay apna akass chor jaoon gi

Zindagi mein aisa lamha bhi hoga socha na tha
Paa ker uss ko main haadh se hi guzar jaoon gi.
,Saal Beetey, Dil Se Mere Ja Na Paye Tum
Sham Ki Tanhai Mein Phir Yaad Aaye Tum


Har Subah Paya Tumhein Khayalon Mein Apne Pas
Raton Ko Khuwabon Mein Mere Muskaraye Tum


Lagte Ho Mere Apne Jabase Tum Ho Dur
Na Jane Kyon Lagte Thay Pahle Kuch Paraye Tum


Piyar Hum Se Behisab Tha Tumhein Phir Bhi
Janey Kyon Hum Se Rahey Nazarein Churaye Tum


Jab Talak Tum Sath Thay Shikway Bhi Sath Thay
Kuch Nahin Ho Ab Mohabbat K Siwai Tum


Thak Gaya Hoon Zindagi Ki Rah Mein
Kaash Mil Jate Kahin Nazrein Bichhaye Tum
Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga.
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga.
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga.
Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say
Uss Ki AankHoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga.
Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy.
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga.
Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga.
Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab.
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga.
Kuch iss adaa se aaj wo pehlu-nasheen rahe
jab tak hamaare paas rahe hum nahin rahe

imaan-e-kufr aur na duniya wa deen rahe
ae ishq shaadabaash ki tanha hameen rahe

ya rab kisi ke raaz-e-mohabbat ki Khair ho
dasht-e-junoon rahe na rahe aasteen rahe

jaa aur koi zabt ki duniya talaash kar
ae ishq hum to ab tere qaabil nahin rahe

mujh ko nahin qubool do aalam ki vusatein
qismat mein ku-e-yaar ki do gaz zameen rahe

dard-e-gum-e-firaaq ke ye sakht marhale
hairaan Hoon main ki phir bhi tum itne haseen rahe

iss ishq ki talaafi-e-maafaat dekhna
rone ki hasratein hain jab aansu nahin rahe.
jo us kay chehray pe rang-e-heya thehar jay
to saans, saqt, samandur, hawa thehar jay

wo muskrai to hans hans parhain kai mosam
wo gungunay to bad-e-saba thehar jay

subak khram saba chaal chal parhe jub bhi
hazar phool sar-e-raah aa thehar jay

wo hont, hont par rakh de agar dam-e-akhar
mujhe gumaan hay kay aai qaza thehar jay

main uski aankh main jhankoon to jesay jam jaon
woh aankh jhapke to chaHoon zara thehar jay
kya khabar thi wo humien daagh_e_judai deingey
hum zamaney mein shab_e_gham ki duhai deingey

pehley tum apni wafaoon ko koi rang toh doh
khud naye rastey ankHoon ko dikhai deingey

apne andar ke gali kucHoon se guzro aik din
tere kanoon ke shor sunai deingey

hum badal deingey baharoon ke puraney andaaz
perhan ab ke har aik gull ko hinai deingey

apney mazi ko na dekhiengey palat kar
gham ki zanjeer se iss dil ko rehai deingey!!