Hoon SMS Messages1073 messages

Mumkin nahi shab-o-rooz ka aik hona

chahat teri meri deewangi apni jagah
Mumkin nahi shab-o-rooz ka aik hona

Goo kafi nahi pyarr mai lamHoon ka milan
Hota hai ajaam-e-ulfat roohon ka aik hona

Bikhrey hathon ko samait kyon nahi letey
Mushkil buhat hai Urooj-o-zawaal ka aik hona

Aab bhi yaad atey hain beetey hoye pal
Wo zulfon ka bikhrana or nazron ka aik hona

Aik hi hotey hain aksar rastey humarey
ZAROORI NAHIN MAGER, MANZIL KA IK HONA
zakham_e_tanhai mein khushboo_e_hina kiss ki thi
saya dewaar pe mera tha sada kiss ki thi

oss ki raftaar se lipti rahi meri ankhiein
oss ne mur kar be na dekha ke wafa kiss ki thi

waqt ki tarah dabey paoon ye kon aya hai
mein andhera jisey samja wo qaba kiss ki thi

ansoo se hi sahi bhar gaya daman mera
haath toh mein ne uthaye the doua kiss ki thi

meri aHoon ki zuban koi samajta kesey
zindagi itni dukhi mere siwa kiss ki thi

agg se dosti oss ki thi jala ghar mera
di gayi kiss ko saza aur khata kiss ki thi

mein ne binaiyaan bo kar be andhere kaatey
kiss ke bus mein thi zameen abr_o_hawa kiss ki thi
koi mera be toh ho saath nibhaney ke liye
mujhe mangey khuda se apna bananey ke liye

mere ansoo meri palkoon se churaney ke liye
bas wohi ho mujhe siney se laganey ke liye

yoon toh hein chahney waley bahot se duniya mein
nhin hai koi magar saath nibhaney ke liye

din bhar khwab jo tootey the sametey hum ne
phir so gaye naye khwab sajaney ke liye

meri sansoon ki rawani toh faqat dokha hai
haan mein zinda Hoon magar sirf dikhaney ke liye!!
Dhuwan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko,
Main Jal Raha Tha Kisine Bujha Diya Mujhko,

Tariqeeyon Ka Fasana Suna Diya Mujhko,
Abhi Hansa Bhi Tha Aur Rula Diya Mujhko,

Main Ek Zara Bulandi Ko Chhune Nikla Tha,
Hawa Ne Thaam Ke Zameen Par Gira Diya Mujhko,

Safed Saang Ki Chaadar Lapet Kar Mujhpar,
Faseel-E-Sheher Pe Kisne Saja Diya Mujhko,

Khara Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harf Liye,
Sawal Ye Hai Kitabnon Ne Kya Diya Mujhko,

Na Jaane Kaunsa Jazba Tha Jisne Khud Hi,
Meri Hi Zaat Ka Dushman Bana Diya Mujhko...
Sochta Hoon taire bare main apna kheyal likHoon
tairi tehreef likHoon ya khuda ka kamal likHoon

maire qalam se aur koi tehreer ban na paaey
main jab bhe likHoon bas taira hus-ne-jamal likHoon

main ne ek ummer kati ha tenhaiyoon main
kaghaz k aik tukre pe kaise main hal likHoon

her zindgi ko urooj tak jo rahnamai de
main apni zindgi ki aaisi misal likHoon

maire baad bhe muje loog kitaboon main dein jaga
main apne urooj ki terha apna zawal likHoon
wo jo hum meiN tumme qaraar tha tumHe yaad ho ke na yaad ho
wo hi aani waala nebaahta tumHe yaad ho ke na yaad ho

wo naye gile wo shiKaayate wo maze-maze ki hikaayateN
wo har ek baat pe roothna tumHe yaad ho ke na yaad ho

koi baat aisi agar huyee jo tumhaare jee ko buree lagi
to bayaaN se pehle hi bhoolna tumHe yaad ho ke na yaad ho

jise aap ginte the aashnaa jise aap kehte the baawafaa
main wohi Hoon ''momin''-e-mubtila tumHe yaad ho ke na yaad ho
hadsoon ki duniya mein kon kiss ko rota hai
yaad kar ke dukh apney kHoon dil ka hota hai

amad_e_baharan par roye khoob roye hum
dard yoon be thamta hai dard yoon be hota hai

app ki nigaHoon mein wo be hogaye mujrum
jin ki begunahi par asmaan be rota hai

khaak mein milein akhir sub riyaztein oss ki
jagney se kya hoga jub naseeb sota hai

naqsh subt hotey hein dil mein bewafai ke
naaz jin pe kartey hein maan jin par hota hai

dil mein kitney tufaan hein purskoon chehra hai
janey wo Sameer apney dukh kahan samota hai!!
Ek umer ke baad uss ko dekha !
AankHoon mein sawaal thay hazarooon
Hontoon pe magar wohi tabbassum !
Chehrey pe likhi hui udaasi
Awaaz mein gunjti judaiiiii
Baanhein theen magar wasaley samaa !
najaney kyoon guzrey zamaney yaad atey hein
kyoon ye puraney zakham phir mujhe statey hein

har chehrey mein chupa hai chehra un ka
nazar milaney se hum issi liye katratey hein

kub hoti hai rahat dil ko iss tarah se
ke tera naam le kar hum kissi aur ko bulatey hein

yoon toh roney ko umar de gaya wo
lekin gham oss ke sehney se hum kub ghabratey hein

ghar se be ghar kiya tha jin logoon ne humein
suna hai phir mujhe wapas bulatey hein

apney naseeb mein hai aik baar wisaal un ka
mere naseeb issi liye tujhe baar baar azmatey hein

in ankHoon ko nhin ab naseeb unein dekhna
kya karein wo mere khwaboon mein aa jatey hein!!
Ek muddat hui ek zamana hua
Khaak-e-gulshan mein jab aashiyana hua

zulf-e-barham ki jab se shanasai hui
zindagi ka chalan mujrimana hua

phool jalte rahe chaand hansta raha
aarzoo ka muqammal fasana hua

daag dil ke shahanshah ke sikke bane
dil ka muflis-kada jab Khazana hua

rah_bar ne palat kar na dekha kabhi
rah-o-raste ka nishana hua

ham jahan bhi gaye zauq-e-sajda liye
har jagah aap ka aastana hua

dekh mizraab se KHoon tapakne laga
saaz ka taar marg-e-tarana hua

pehle hoti thi koi wafa-parvari
ab to "Sagar" ye qissa purana hua...........
wafa ke wadey wo sarey bhoola gaya chup chaap
wo mere dil ki dewaarein hila gaya chup chaap

gham_e_hayat ke taptey houey biyabaan mein
humein chor ke wo tanha chala gaya chup chaap

na janey kon sa wo badnaseeb lamha tha
jo gham ki agg mein mujh ko jala gaya chup chaap

mein jiss ko choota Hoon wo zakham deta hai
wo phool aesey chaman mein khila gaya chup chaap!!
khud ghar jala ke khud hi tamashaiyoon mein Hoon
jub se suna hai mein tere shedaiyun mein Hoon

har ik nafas ke saath mita jiss ke wastey
uska bayan hai ke mein harjaiyun mein Hoon

ae dost tu ne mujh ko kyun gira diya
socha nhin ke mein teri tanhaiyun mein Hoon

har simat dhood dHoond mujhe dHoondney waley
mein hi toh teri tooti houi angraiyun mein Hoon

iiss dil ke zakham kabi sil na payeingey
behtey lahoo ke josh ki garmiyun mein Hoon

mujh se juda ho reh na payega tu ik din
mein sansoon ki bajti houi shehnaiyun mein Hoon!!