Hoon SMS Messages1073 messages

Gulshan ki faqat phooon say nahi kantoon say bhi zeenat hoti hay..
jenay k lia is dunia mien gham ki bhi zaroorat hoti hay

A waiz-e-nadan karta hay to hi to qayamat ka charcha..
yahan rooz nighahien millti hien yahan rooz qayamat hoti hay..

who purs-e-shy gham ko aay hien kuch keh na sakoon chup reh na sakoon..

khamoosh raHoon to mushkil hay keh don to shikayat hoti hay..
karnay hi parry ga zabt-e-alam peenay hi parray gien ya aansoo..

faryad wa fughan say aa nadaan tuhen-e-muhabbat hoti hay..

jo aa k giry ka daman par who aashk nahi hay pani hay..
jo aashk na jhalky aankHoon say us aashk ki keemat hoti hay
Aksar uddas rehta Hoon
Shehr-e-tanhaee say
Koi qaafila
Teri simt jata nahi
Kon hay jo teri khabar day
Mujhay !
Anjaan rahon pay
Gaye waqt ki dhool kay siwa
Kuch nahi..........
shayad iss lye mai aksar udaas rehta hon
Shaam Tak Subha ki Nazron se Utar Jaatay Hain
itnay samjhoto pe jeetay Hain ke Mar jaatay Hain

Hum to Be Naam iraadon ke Musaafir Hain "Tanha"
Kuch Pata Ho to Batayen kidhar Jaatay Hain

Ghar ki Girti Hui deevarain Hi Mujh se Achi
Raasta Chaltay Hue Log Thahar Jaatay Hain

Ek judai ka wo Lamha ke jo Marta Hi Nahi
Log Kahtay thay Sab WaQt Guzar Jaatay Hain

Phir Wahi Talkhi-e-Haalat MuQaddar Thahri
Nashe Kaise bhi Hoon Kuch Din Main Utar Jaatay Hain
Aks-e-khushboo Hoon, bikharnay say na rokay koi
Aur agar bikhar jaoon to mujh ko na samaitay koi

Kaamp uth-ta Hoon main yeh soch k tanhaee main
Meray chehray pe tera naam na parh lay koi

Jis tarah khuwaab meray ho gaye reza reza
Iss tarah say na kabhi toot k bikhray koi

Main to uss din say harasan Hoon k jab hukam milay
Khushk phoolon ko kitabon main na rakhay koi

Ab to iss rah say wo shakhs guzarta bhi nahi
Ab kis umeed pe darwazay say jhankay koi

Koi aahat, koi awaz, koi chaap nahi
Dil ki galiyan bari sunsaan hain, aye koi
Khud say rutHoon to kayee roz na khud say boloon
Phir kisi dard ki deewar say lag kar ro loon

Tu samander hai to phir apni sakhawat bhi dikha
Kya zaroori hai k main pyaas ka daaman kholoon

Main k ek sabr ka sehraa nazar ata Hoon tujhay
Tu jo chahay to teray wastay darya ro loon

Aur meyaar rafaqat k hain aisa bhi nahin
Jo mohabbat say milay saath isi k ho loon

Khud ko umron say muqfal kiye betha Hoon faraz
Who kabhi aye to khalwat-kada e jaan kholoon
Miley Kaisey Sadiyoun Ki Pyaas Aur Paani, Zara Phir Sey Kehnaa
Badri Dilrubaa Hai Yeh Saari Kahaani, Zara Phir Sey Kehnaa

Kahaan Sey Chalaa Thaa Judai Ka Saaya, Nahien Dekh Paaya
Kay Rastay Mein Thi Aansoyoun Ki Rawaani, Zara Phir Sey Kehnaa

Hawa Yeh Khabbar Tou Sunaati Rahey Aur Mein Suntaa RaHoon
Badalney Koo Hai Ab Yeh *Mousum Khizaani*, Zara Phir Sey Kehnaa

Mukar Jaaney Waala Kabhi Zindagi Mein Khusi Phir Naa Paaye
Younhi Khattam Kar Lein Chalo Yeh Kahaani, Zara Phir Sey Kehnaa

Samay Kay Samandar! Kaha Tu Ney Jo Bhi, Suna Par Naa Samjhe
Jawaani Ki Nadi Mein Thaa Taiz Paani, Zara Phir Sey Kehnaa
Mumkin ho aap se to bhula dijiyey mujhay
Pathar pe Hoon lakeer, mita dijiyey mujhay
Hur rooz mujh se taaza shikayat hai aap ko
Main kia Hoon, aik baar bata dijiyey mujhay

Mere siwa bhi hai koi mozoo-e-guftugu
Apna bhi koi rang dikha dijiyey mujhay
Main kia Hoon, kis jagah Hoon, mujhay kuch khabar nahin
Hain aap kitni duur zara sada dijiyey mujhay

Ki main ne apne zakham ki tash''heer ja baja
Hum mantey hein jurm, saza dijiyey mujhay
Qaim to ho sakey koi rishta ap key saath
Gehre samandaroon main baha dijiyey mujhay

Shab bhar kiran kiran ko tarasnay se faida
Hai tairgi to aag laga dijiyey mujhay
Jaltey dinoon main khud pas-e-deewar baith kar
Saaye ki justuju main laga dijiyey mujhay
meri rooh main jo uter sekain woh mohabbatin mujhay chahiyain
jo saraab Hoon na aazab Hoon woh rafaqatain mujhay chahiyain


inhain saetoon ki talash hay jo calenderoon say uter gain
jo samay k sath guzar gain wohi fursatain mujhay chahiyain


kahin mil sekain to samait la meray roz-o-shab ki kahaniyan
jo ghabaar waqt main chup gain woh hiqayatain mujhay chahiyain


jo meri shaboon ka charagh thay jo meri umeed k baagh thay
wohi log hain meri arazo wohi souratain mujhay chahiyain


teri qerbatain nahi chahiayin meri shairy k mizaaj ko
mujhay fasaloon say doaam day teri ferqatain mujhay chahiyain
koch kehnai ka waqt nahi hai koch na kaho khamoosh raho
ai logo khamoosh raho haan ai loogo khamoosh raho

sach acha, par is kai jalo main, zehr ka aik piyala bhi
pagal hu, kiyoon nahaq ko "suqraat" banoo, khamoosh raho

haq acha par is kai liya koi aur marai tu aur acha hai
tum bhi ki "mansoor" hu jo soli pai charhoo, khamosh raho

un ka yeh kehna soraj hi dharti kai phairai karta hai
sar ankHoon par, sooraj hi ko ghomnai do, khamoosh raho

majlis main kooch habs hai aur zanjeer ka ahan chubhta hai
phir soocho, haan hir soocho, haan phir soochoo, khamoosh raho

garm ansoo aur thandi anhain, man main kiya kiya mausam hain
is baghya kai bhaid na kholoo, sair karoo , khamoosh raho
Wo Samne Aye To Nazron Ko Jhukaa Loon Ga
DekHoon Ga Nahi Phir Bhi Tasweer Bana Loon Ga

Aana Ho To Aa Jao Ruswayee Nahi Hogi
Dekhega Nahi Koi Palkon Mai Chupa Loon Ga

Jo Hum Per Guzarni Hai Ek Bar Guzar Jaye
Her Gham Ki Tarha Tujh Ko Seene Se Laga Loon Ga

Weeran Agar Dil Ho Aankhon Mai Andhera Ho
Yaadon Ke Diye Apni Palkon Mai Saja Loon Ga

Manzoor Agar Hogi Ruswayi Teri Mujh Ko
Mai Beth Ke Sahil Se Toofaan Utha Loon Ga

Naraz Agar Wo Hain Mere Nasheman Se
Mai Apne Nasheman Ke Tinkon Ko Hata Loon Ga

Kyun Mujh Se Khafa Ho Ker Wo Door Gaye
Baanhon Mai Wo Aa Jayaen Mai Un Ko Mana Loon Ga
Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao
Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao

Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki
Bhot Aasaan ho, thory Bhot dushwaar ho jao

Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai
Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao

Main Kesi Chal chalati Dhoop ke Sehra Se ayi Hoon
Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao

Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho
Na Aay Esa Din , Tum isqadar Nadaar ho jao

Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hai
Meri itni Duaa hai Kaash tum "Tanha" Fankaar ho jao
Abhi is taraf na nigah ker main gazal ki palkain sanwar loon
Mera lafz lafz hai aeinah tujhey aeineu main utar-loon

Main tamam din ka thaka hoowa tu tamam shab ka jaga howa
Zara theher ja isi moor per tere saath sham guzar loon

Ager aasman ki numa-e-sHoon main mujhay bhi izan-e-kayam ho
To main motioun ki dukan say tayri baleeyan tere haar loon

Kahain or bant day shohratain kahain or bakhsh day izatain
Mere paas hai mera aaenah main kabhi na gard-do-ghubar loon

Kai ajnabi teri rah main mere pass say yun guzar gaey
jinhain daikh ker yeh tarap huee ter a naam ley ke pookar loon