Hoon SMS Messages1073 messages

Tum Ne Kaha Tha Agar Kabhi Bhi

Bichar Gaye To Aisa Karna

Dil Mein Pyaar K Jugnoon Bhar K

Mujh Ko Kuch Pal DHoondtey Rehna

Dekhna Phir Main Lot Aoun Ga

Tum Ye Keh Kar Chalay Gaye The

Laikin Teri Khoj Main Ab Tak

Main Aur Jugnoo Bhatak Rahey Hain.....!!
Izzaton say barh ker to aur kuch nahi hota
Chahton ki durri bhi,
Torna hi parti hai
Manzilon ki kashti bhi,
Morna hi parti hai
Bhoolna hi parta hai,
Khud say piyare lougon ko
Aur dil ke aangan mein,
Naqsh un ki tasweerain
Kuch haseen lafzon ki,
Kuch haseen tehreerain
Paaon jin mein jukrain Hoon,
Kholna hi parti hain..
Khoobsurat aankhon mein basnay walay khawabon ko
Nochna hi parta hai
Dil se milta her rishta torna hi parta hai...
Kyun ke....
Izzaton se barh ker to aur kuch nahi hota....!
Tere Zulfoon mein saja kar WAFA ki kaliyan



Apnay daaman mein liye phirta Hoon main ilzaam k phool
Na Adhi Hoon na puri Hoon.

meray hamdam


HaQeeQat hAy mAin tere bin adhuri Hoon
Mujhe khabar thi
zamana chahay bura hi samjhe
bhalay se ghar main mukhalfat ho
tumharay logoN ko na-pasand ho
tumhaiN to mujh per yaqeen ho ga
magar mujhay kuch khabar nahi thi
tumhari aaNkhoN ki unsiat bhi
ik ajanabiat se dekhti hai
ye waqt mushkil tareen hai na
suno!
main majboor ho gaya Hoon
ye sochne per......... ye poochne per
tumhain to mujh per yaqeen hai na??...
Uski yaadon ka silsila hoga
is kahani main or kya hoga
jab bichar kar bhi wo khamosh raha
Ghar jaa kar tu ro diya hoga
khud ko samjha diya hay maine magar
kya wo khud bhi badal gaya hoga
itna aasaan na tha mujhay khona
usne khud ko ganwa dia hoga
mujh ko veeran kar diya jis ne
khud tu aabaad kahin huwa hoga
sochta Hoon jo mujhko chahta tha
yaad mujh ko kar raha hoga
Meri AnkHoon Kay SAmandar main Jalan kaisi Hai
Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaisi Hai

Ab Kisi Chhat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaisi Hai

Baraf Kay Roop Main dhal Jain Gay Saray Rishtay
Mujh say Pocho Kay Muhabbat Main Agan kaisi Hai

Main Teray Wisal Ki Khuwahish Ko na Marnay Doon Ga
Mausam-e-Hijar Kay lehjay Main Thakan Kaisi Hai

Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kantoon Ki RiDa
Uss Ki Majboor Sii AnkHoon Main Kiran Kaisi hai

Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
ussay Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai
Baarishon ke mausam main Waqt ke andheron main
Maine us se poocha tha Chorr to na jaoge

Haath tham ker us ne Kaan main yeh bola tha
Kaise chorr sakta Hoon Tum to Jaan ho meri

Aur aaj aisa hai Waqt ki tamazat main
Wehshaton ke Mausam main Maine us se poocha hai

Chorr kar hi jaana tha Muskurati galiyon main
Aas kyun dilayi thi Pyaas kyun jagayi thi

Mere in sawalon per Na woh chonka na woh thehra
Chalte chalte itna kaha Mausamon ke khel hain sab
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke kHoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....
Itna roya Hoon k ab aankh main pani bhi nahi

Main ney yeh baat magar usko batani bhi nahi

Sirf aankhain jo ban jayain to yeh bhi hai bohat

Puree tasveer mujhe uski banani bhi nahin

Zindagi! ab to taluq ki yehi surat hai

Tujh se rakhni bhi hai aur tujh se nibhani bhi nahi
Kiya baat kaho on ankhoo ki
Jin ankhoo pe main marta hoo
Woh ankhien jheel si ankhien hain
Jin main doob ke rooz ubharta Hoon
Mujhey dekhney ke liyeh uthti hain
Miltey hi nazar woh jhukti hai
Saarey jaha main aisi ankhien nahi
Jin akHoon pe main marta hoo
In ankhoo main koi ansoo na aaye koi
Kabhi koi ghum na pass aaye koi
Sada muskuratien rahey yeh
Har dum yeh dua main karta ho Hoon
Kiya baat kaho un ankhoo ki
Jin ankhoo pe main marta hoo
hum ne kab mani thi baat zamanay ki
aaj humare baat manayzamana kyon
wo jungl kay phoolon per kyon marta hai
ussko achay lagtay hein veranay kyon
mohsin jab b chot nae kha leta Hoon
dil ko yaad aatey hein dost poranay kyon,,