Hoon SMS Messages1073 messages

Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili
Jaisi Chahtey The Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili,

Milney Ko Zindgi Main Kahin Hum-Safar Miley
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili,

Chehroon Main Doosroo Ke Tumhain Doondtey Rahey
Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahi Mili,

Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas Kiya KaHoon
Alfaaz Doondney Ki Bhi Mohalat Nahi Mili,

Tujh Ko Gilla Raha Ke Tawajja Na Di Tujhey
Laikin Humain Khud Apni Rafaqat Nahi Mili,

Her Shaks Zindgi Main Bohat Dair Se Mila
Koi Bhi Cheez Waqt-e-Zaroorat Nahi Mili........ ..!
Mujahy zid nahi meray galay ka haar ho jao
Akela chor dena tum jahan day-zaar ho jao
Bohat jaldi samjha mein aany lagtay ho zamanay ki
Bohat aasan ho thoray dushwar ho jao
Mulaqaton mein wafa is liye hona zarori hai
K tum ek din judai k liye tayyar ho jao
Mein kisi chil chilati dhoop k sehra say aya Hoon
Bas ab aisa karo tum saya-e-deewar ho jao
Tumharay pass denay k liye jhooti tasali ho
Na aye aisa din tum is qadar naadar ho jao
Tumhein maloom ho jaeyga kaisay runj sehtay hain
Meri itni dua hai k tum tanha funkaar ho jao
Sochta Hoon k usay neend bhi aati ho gee
Ya meri tarah ashq bahati ho gee
Woh meri shakal mera naam bholanay wali
Apni tasveer say kya aankh milati ho gee
Is zameen par bhi hai selaab meray ashqon say
Meray matam ki sada arsh hilati ho gee
Mohabat seekh kar karna k bin seekhay mohabat ka
Safar dushwar hota hai
Gireban taar hota hai
Kabhi inkar hota hai kabhi iqrar hota hai
Mohatbbat seekh kar karna
K bin seekhay mohabat tu serabon ki kahani hai
Dukhon ki raj dhani hai
Jo kal ban jai ga badal yeh dary ka woh pani hai
Mohabat seekh kar karna
K bin seekhay mohabat azab-e-zindagi thehri
Sharab-e-zindagi thehri na ho takmeel jis ki woh
Kitab-e-zindagi thehri
Isi khatir tu kehta Hoon kisi ustad-e-kamil say
Mohabat seekh kar karna
Chehron Mein 1 Chehra Khojne Ki Adat Hai,

Mujhko Bheer Me Beth Kar Sochne Ki Adat Hai,
Gila Ho B to kya unse Sitam Gari ka K jinhain

Phool Shakhon Se Nochane ki Adat Hai,

Mat DHoonda kejiye Mere Har Lafz Ki Tasweer,

Min To Pagal Hon Mughay Youn Hi Bolne Ki Adat Hai,

WaQt Hai Nhi Dunya K paas Mujhay Ja"nay Ka

Aur Mujhko B kab Apna Aap Kholne Ki Adat Hai

Tum Shish Ho to Phir Mujh Se Door He Raho

Main Pathar Hon Mujhay Shisha Tornay Ki Adat Hai,
AQAL Kehti Hai,


Itna nA Girao Khud ko


Dil yeh KehtA Hay


Ankhon se Nikal kr Dekho


ZindAGi ko BohAz Azeez hon mAin


DHoond Laitay Hain Hadsaat Mujhay
Samajh jAta Hoon Lakin dair sE Daoo Paich us k



wo Baazi jheet jata hAi
mEray Chalak hone tAk. . . . .
Tumhary Bin Har ik pal Mujhe B''chain Rakhta Hai,


Mein Apna Dill Hai jo Bekul ,Tumharay Naam karta Hoon.
Jinhe dHoondte hain sapno main
Woh haqeeqat main nahi hai
Jo haqeeqat main hai saamne
Woh hamare sapno main nahi hai

Jo Dil main hai hamare
Woh hamare qareeb nahi hai
Aur jo qareeb hai hamare
Woh hamare Dil main nahi hai

Jis se Pyaar karte hain hum
Woh hamare baare main sochta nahi hai
Jo sochte hain humaare baare main
Un se Pyaar hum karte nahi hain
"intezaar"
Hum jinka "muntazar" karte hain
Woh kabhi aate nahi hain
Aur jo aa jaate hain saamne
Unka "muntazar" hum karte nahi hain
"intezaar"
Kisi Aur ko mErAy haal se nA Gharz hy nA koi wasta


mAin bikhAr Gaya Hoon smait lo,mAin BighAr Gaya hon,sAnwAr Do
Ghum Nahi Bholta Bhulanay Say“
Num Hoe Ankhayen Muskurany Say

Aaj Woh Ajnabi Say Lagty Hain
Janta Hoon Jisay Zamany Say

Doston Ki Parakh Nahi Kerna
Maan Totay Gaa Azmany Say

Jab Say Apnoo Say Chaut Khaye Hai
Koi Shikwah Nahi Zamanay Say

Zindagi Ki Haqeqaton Ki Kasam
“Dil Ki Batein Hain Bas Fasanay Say “
soocha nahi accha bura dekha suna kuch bhi nahi
manga khuda se raaat din teray siwa kuch bhi nahi

soocha tujhey dekhaa tujhey chaha tujhey pooja tujhey
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahi

jis per hamari ankh ne mooti bichaye raat bhar
bheja wohi kaghaz usse hum ne likha kuch bhi nahi

ik shaaam ki dehleez per baithe rahay woh dair tak
ankHoon se keen baatain bohat moun sai kaha kuch bhi nahi

ihsaas ki khushboo kaha awaz kai jugnoo kaha
khamoosh yado kai siwa ghar mien raha kuch bhi nahi

do chaar din ki baat hai dil khaak mien mil jaye ga
jub aag per kaghaz rakha baaqi bacha kuch bhi nahi