Kiya baat kaho on ankhoo ki
Jin ankhoo pe main marta hoo
Woh ankhien jheel si ankhien hain
Jin main doob ke rooz ubharta hoon
Mujhey dekhney ke liyeh uthti hain
Miltey hi nazar woh jhukti hai
Saarey jaha main aisi ankhien nahi
Jin akhoon pe main marta hoo
In ankhoo main koi ansoo na aaye koi
Kabhi koi ghum na pass aaye koi
Sada muskuratien rahey yeh
Har dum yeh dua main karta ho hoon
Kiya baat kaho un ankhoo ki
Jin ankhoo pe main marta hoo
Aisi Hawa Chali Sab Phool Jal gaye
Sab Se aziz Log B Kitne Badal Gaye
Uss Ke Begair Kis Ko jeenay Ka Guman Tha
Hum Khud B Sochte Hain K Kese Sanbhal Gaye
Uski yadon mein uski baton mein
Us ki duaon mein kahin mera aks to jhilmilata hoga
Lakh masroof hoga apnay kamon mein woh
Par ik pal to meri yad mein bitata hoga
oski muhabbat mere lia
bhini bhini
muatter muatter
raat ki rani
oska lams mere lia
jadoo jagata
khul ja sim sim ki kahani
oski intaha mere lia
had se be-had
la-mehdood bhi be-ma''ni
oski deewani ospay merti
oski chahat uski tammanah uski arzu
mangay hae panj waqta duain OSKAY HUZOOR
BEPERWAH,GHANI-Ul-QADEER
sone ga zaroor
Dedar ho jay tera yahi dua hai ab to
Kuch samay mily undhar yahi dua hai ab to
Itna paicheda to nahi us k loutny ka rsta
Lout ay jald wahan se yahi dua hai ab to
Main Lafzon main kuch asar nahin kerta.Iss ka matlab yeh nahin key main tujhey pyar nahin kerta.Chahta hon main tujhey aaj bhi.Mager teri soch main apna waqt bekaar nahin kerta.Tamasha na ban jaey kahin mohobat meri.Iss liey apney dard ko namoodar nahin kerta.jo kuch mila hai usi main khush hon.Main tere liey Khuda say takraar nahin kerta.Par kuch to baat hai teri aankhon main.Werna main tujhey chahney ki khata baar baar nahin kerta.