Hoon SMS Messages1073 messages

Suno mein laut aya Hoon
Meri batein
Meray waday
Mein apne saath laya Hoon,
Suno meri dharkan mein
Wohi ik saaz bajta hai
Andaz meri baton ka
Tera andaz lagta hai
Khazaan k zard patton ko
Barf se sard mosam ko
Hijar ki garm aahon ko
Tanhai ki bahon ko
Suno
Main chor aya Hoon
Abhi jo sakt baaqi hai
Mera jo wqat baaqi hai
Sameto mujh ko baHoon mein
Mujhay chand khushiyan de dalo
Meray sab gham sameto tum
Chand lamhay mujh ko de dalo
Mein sab rishtay
Sabhi natay
Sabhi bandhan
Sabhi dhage
Suno
Mein tor aya Hoon
Suno mein laut aya Hoon
Jab husn burke mein sadak par chala karta tha,
ek diwana peeche-2 chala karta tha,

socta tha ki kab hawa chale aur husn ka deedar ho.

Ek din diwana chal basa. kuch din baad husn ko deewane ki yaad ayi.

jab woh kabar par ayi to andar se aawaz ayi..waah re khuda aaj mein Hoon parde mein aur woh benakab ayi.
Manzelin bhi us ki thi,
Rasta bhi us ka tha,
ek main ekala tha,
kafla bhi us ka tha,
saath saath chalnay ki soch bhi us ki thi,
phir rasta badalnay ka faisla bhi us ka tha,
aaj kyoun ekala Hoon dil sawal karta hai,
log tou us ke thay kia khuda bhi us ka tha.
zindagi ke din kaise bhi Hoon guzar jayein ge,,,,ek din hum bhi chupke se mer jayein ge,,,,aaj rehte hain aap ke dil mein yaad ban ker,,,,kal ansoo ban ker ankHoon se nikal jayein ge...
Mohabbat ka asar hoga galat fehmi main mat rehna
Wo badlay ga chalan apna galat fehmi main mat rehna
Tasalli bhi usay dena ye mumkin hai main loot aaon,
Magar ye bhi usay kehna galat fehmi main mat rehna
Tumhara tha tumhara Hoon tumhara hi raHoon ga main,
Meray baray main is derja galat fehmi main mat rehna,
Wafa ka ehad tuta hai ab chup chup k rotay hoo,
Tumhain main nay kaha tha na galat fehmi main mat rehna.
Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka rawa bhi tha
Kal phool bhi nikhray nikhray thay
Kal un me aap ka aks bhi tha
Kal badal kaalay gehray thay
Kal chaand pay laakHoon pehray thay
Kuch tukray aap ki yaadoon k
Bari der tak dil mei thehray thay
Kal yaadein uljhi uljhi theen
Or kal tak yeh na suljhi theen
Kal yaad bohat tum ay thay
Kal yaad bohat tum ay thay
Kahin milay tu usay yeh kehna
Main saray arman jala chukka Hoon
Jo sholey bharkey thay khawahishon k
Wo ansoyon se bhuja chukka Hoon
Kahin milay tu usay ye kehna
K chaak-e-daman ko si raha Hoon
Bari hi mushkil se g raha Hoon
Dia jo nafrat ka zehar tu ne
Samaj k amrat
Main p raha Hoon
Kahin miley to usay yeh kehna
Wo jazbay meray
Kuchal gaya hai
Jafa k sanchay mein dhal gaya hai
Na badlay mosam b itni jaldi
Wo jitni jaldi badal gaya hai
kabhi chanda ki nagri say koi pegham aye to
kabhi taroon ka honton per kisi ka naam aye to
kabhi tareek shab main koi jugno jagmagata hai
MUJHE WO YAAD ATA HAI........
kabhi jab saans say uthta dhuan mehsoos hota ho
ajab si aanch pe haar karuan mehsoos hota ho
to uss ki pyar ki barish main tan man bheg jata hai
MUJHE WO YAAD ATA HAI........
kabhi raaton ko uth uth kar bohat bechain hoti Hoon
agar jo letna chahon to bas takiye bhigoti Hoon
koi ruthi hui shab neend ki pariyan bulata hai
MUJHE WO YAAD ATA HAI........
kabhi jab titliyon k pankh bhi be rang ho jayen
meri saari baharain bhi khizan k sang ho jayen
tabhi ek aas ka panchi dar e dil khatkatata hai
MUJHE WO YAAD ATA HAI........
Kabhi kabhi meray dil mein khayal ata hai
K zindagi teri zulfon ki narm chhaon mein
Guzarnay pati tu shadab ho bhi sakti thi
Yeh teragi jo meri zeest ka muqadar hai
Teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi
Ajab na tha k mein begana alm ho kar
Teray jamal ki ranaeon mein kho rehta
Tera gudaz badan teri neem baz ankhein
Inheen haseen fasanoon mein mehav ho rehta
Pukarteen mujhe jab talkhiyan zamanay ki
Teray labon say halawat k gHoont pee leta
Hayat cheekhati pherti barehna sir aur mein
Ghaneri zulfon k saya mein chhup k jee leta
Magar yeh ho na saka aur ab yeh alam hai
K tu nahi tera ghum teri justaju bhi nahi
Guzar rahi hai kuch es tarah say zindagi jaisay
Zamanay bhar k dukhon ko laga chukka Hoon galay
Guzar raha Hoon kuch anjani rahgawaron say
Muhayab saye meri simat bhartay atay hain
Hayat-o-maut k par hol kharzaron say
Na koi jada manzil na roshni ka charag
Bhatak rahi hai khalaon mein zindagi meri
Enheen khalaon mein reh jaoo ga kabhi kho kar
Mein janta Hoon meri ham-nafas magar youn hee
Kabhi kabhi meray dil mein khayal ata hai
Kabi mehsoos karna
Apne dil ki dardkan ko
Aur Sunna!
Ik saaz ko..
Jo!
Kay raha hai..
Tum se!
K!
Main door nahi..
Juda nahi..
Tumare pass Hoon...!
Wo jo aks aks ganwa diya
Kabhi roo baroo tha meray liye
Woo jo naksh naksh mita diya
kabhi char soo tha meray liye
jo had-e-hawa say bhi door hai
kabhi koo ba koo tha meray liye
jo tapish hay mauj-e-saraab ki
kabhi abb-e-joo tha meray liye
jisay ap likhta Hoon khat mein
kabhi sirf tuu hi tha meray liye