mein sahil pe likhi hui ebaarat nahein
jo lehroon sey mit jaati hai
mein baarish ki baarasti boond nahein
jo baras kar tham jati hai
mein khuaab nahein
jisey dekhaa aur bhula diya jaye
mein shama nahein
jisey p
Hoonka aur bhuja diya jaye
mein hawa ka jhonka nahein
jo aya aur guzar gaya
mein chaand bhi nahein
jo raat k baad dhal jaata hai
mein to woh ehsaas
Hoon jo
tujh mein lahoo bun kar gardish karay
mein to woh rang
Hoon jo
teray dil par
chahray aur kabhi naa utray
mein to woh parwana
Hoon jo
jalta rahay aur fana naa hoga
khuaab, ibaaarat, hawak ki tarhaan
chaand, boond, shama ki tarhaan
meray mitnay ka sawaal hi nahein
KIYON K MEIN TO MOHABBAT
Hoon
AUR MOHABBAT KO KOI ZAWAAL NAhi