Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo
Yun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo ,
Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka
Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo,
Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se
Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo ,
Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main
Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye aansoo.... !!
Jawani ko zindagi ka nikhaar kahte hai
Patjhad ko chaman ka nikhar kahte hai
Ajeeb chalan hai is duniya ka Yaaro
Ek dhokha hai jise hum sab Pyar kahte
Hai !
Gulshan ki tarah muje mehkaya karo tum Din dhal jaye to raat ki rani ban jaya karo tum Muje Tanhaion say bohat khouf aata hay R kuch nahi to mera saya hi ban jaya karo tum Tera Firaq muje khud say b begana karta hay Khawab main b na apna daman churaya karo tum
Chandni se chamakti is raat mein,
ek khushboo si hai har baat mein,
hai sitaare mere kadmo ke tale,
Ek ehsaas hai aaj unki har aahat mein,
paas aake bhi kyu hein duriya,
koi pyasa hein kyu barsat mein.