Zameen par hai magar

Zameen par hai magar
Zameen par hai magar aasman jaisi hai
Woh narm narm see larki chattan jaisi hai
Meray haroof bhi jhootay hain meray jazbay bhi
Meri kahani bhi saray jahan jaisi hai
Yeh shaam mil k bicharnay ka ista-ara hai
Yeh raat hijar k kalay nishaan jaisi hai
Hawaein roz bhujaati hain khuwahishon k diye
Yeh zindagi bhi andheray makan jaisi hai
Mein apnay sath hoon ya koi dosra hai ZIA
Yaqeen ki yeh ghari bhi gumaan jaisi hai
  

Jun, 05 2010     427 chars (3 sms)     2703 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

uski qurbat main hai kia baat na jane ay mohsin.

ek lamhy k liye sadyon ko bhula deta hai..
taamul to tha unn ko aane mein a qasid...

mgr ye bta tarze inkar kia tha.
Pathar Hai Tery Hath Mai Ya Koi Phool Hai,

Jb Tu Qabul Hai, Tera Sub Kuch Qabul Hai,

Phr Tu Ne De Diya Hai Naya Faasla Mjhy,

Sar Par Abhi Tu Pichli Masaft Ki Dhool Hai,

Tu Dil Py Bojh Lekr Mulaqat Ko Na Aa,

Milna Hai Istrha Tu Bichrna Qabul Hai,

Tu Yar Hai To Itni Kari Guftgu Na Kr,

Tera Asool Hai Tu Mera B Asool Hai,

Lafzon Ki Aabro Ko Gnwa Na Yun Adeem,

Jo Maanta Nhi, Usy Kehna Fazul Hai.....!!!
Nighahain bolti hain Betahasha

mohabat paglon ki guftgu hai.
hona tu wohi hai jo muqaddar me likha hai,

lekin woh mere khuwab,mere khuwab,mere khuwab.
chamun, gulzar, baghaat bhi koi sajata he
in me kalion aur phoolon ki mehfil khuda lagata he
in kalion aur phoolon se barh kar tum sahi
bhala itna chahnay wale ko bhi koi tarpata he..
nhi sajde kiye hum ne kabhi ghairon ki chokat pe..

hamen jitni zarorat ho KHUDA se maang lete hain..
Aise Main Bas December Ki

Siskiyan leti Hui Sard Tareek

Yaad Ka Alvidaai Manzar

Yaad Aata Hai Aise Main Humain

Tu Bhi Nahi Teri Chahat Bhi Nahi

Bas Mohabbat Ka Aakhri

December Yaad Aata Hai. . .
meri nigahon ki talash bas itni thi,

ami

aakhri saans se pehle us ka deedar ho jaye.
Itney qareeb say guzar kar gaya hai
Andaaz be rukhi kay num kar gaya hai
Mayat pe mari kharay ho kar anjaan bangaya hai
Kehta hai logon say yeh kon mar gaya hai
Aana mari kabar par aur parna phir Fatiha
Aur phir muskara kar keh dena acha howa mar gaya hai

Kyun yaad tum itna aate ho...?
Kyun hum ko tum tarpaate ho...?

Gum sum gum sum hain aaj sahar se hum...
Kyun itna hamain sataate ho...?

Aadi hogaye hain us sitam ke hum...
Jo aadatan humpe dhaate ho.

Tumhain khayaalon se gar nikaal bhi dain...
To khwaabon main aajaate ho.

Hum lab se nahin karte izhaar-e-mohabbat...
Tum aankhain hii nahin parh paate ho.
Mujhe Tasleem hai tum ne Muhabbat mujh se ki ho gi,
Zamane ne magar Izhar ki Mohlat na di ho gi,
Mein apne aap ko sulgha raha hon isi tawaqu par,
Kabhi to AAG bharke gi
Kabhi to ROSHNI ho gi.....!