Kisi ko bepanhayi ki hadh tak cahana kya ek gunah hai, 2
Kisiko pane ki cahat may kho dene ka dar bhi kya ek gunah hai
Dil may uthe har ek umido ko hakigat banana bhi shayad ek guna hi hai
Par kabhi aisa lagta hai ke is pyar ko gunah kehna bhi ek gunah hai.
Muhabbat Zaat Hoti Hay
Muhabbat Zaat Ki Takmil Hoti Hay
Koi Jungel Mai Ja Tahre,
Kisi Basti Mai Bus Jaye
Muhabat Sath Hoti Hay
Muhbat Khowabon Ki Lah
Muhabat Musamon Ka Dhun
Mohabt Abbsharon K Nikartay Paniyon Ka Mun
Muhabat Junglon Mai Raqs Kerti Morni Ka Taan
Muhabat Barf Perti Sardion Mai Dhop Bunti Hay
Muhabbat Chilchilatay Garm Saherahon Men
Thandi Chahon Ki Manind
Muhabat Dil
Muhabat Ja''n
Muhabbat Roh Ka Darma''n
Muhabat Moorti Hay
Or kabhi Jo Dil k Mandir mai Kahin par Tot Jai tu
Mohbat kanch ki Gurya
Fizahon Men Kisi Ka Haath Sa Gir Choot Jaye Tu
Muhabat Abla Hay qarb Ka
Aur Phoot Jaye Tu
Muhabat Rog Hoti Hay
Muhabat Sog Hoti Hay
Muhabat Shaam Hoti Hay
Muhabat Raat Hoti Hay
Meri Baat ko Jo samjh Pao to Batana
Meri soch tak jo ponch pao to batana
Sabhi logon se her roz mila kerty ho
Kabhi jo khud se mil pao to batana
Honto pe hansi hai aur aankho mein ghum
Kabhi iss guman se nikal k muskurao to batana
Jo hans raha hai kia haqiqat mein hans raha hai
Iss hansi k peechy chupy gham ko kabhi batana