Diya SMS Messages534 messages

Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai
Halay Dil Auroon Ko Sunana Kitna Mushkil Hai

Aik Humain Hai Teri Chahat,Aik Dunya Ki Majbori
Beech Samandar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai

Aik Naye Dunya Ki Chahat Lay Aye Hai Kitni Dor
Wapis Laut K Ghar Ko Jana Kitna Mushkil Hai

Ab Tu Har Aik Hi Hum Ko Dard Ka Mara Lagta Hai
Apnay Zakham Logon Ko Dekhana Kitna Mushkil Hai

Roz Muhj Say Aik Naye Tamana Karta Hai Yeh Mera Dil
Is Nadaan Bachay Ko Samjhana Kitna Mushkil Hai

Hum Ankhoon Say Kehnay Walay Tum Hontoon Ko Sunanay Walay
Apni Chahat Yuhn Tumhain Batana Kitna Mushkil Hai
Tum Nay To Yeh Keh Diya Kay Muhabbat Nahi Mili
Mujh Ko To Yeh Kehney Ki Bhi Fursat Nahi Mili

Neendon Kay Daiss Jatey ,Koi Khawab Dekhtey
Lekin Deya Jalaney Se Fursat Nahi Mili

Tujh Ko To Khair Shehar Kay Logon Ka Dar Tha
Aur mujh Ko Apney Gher Se Ijazat Nahi Mili

Phir Ekhtalaf-e-rai Ki Soorat Nikal Pari
Apni Yahan Kissi Say Bhi Aadat Nahi Mili

Bay-Zaar Youn Huway Kay Teray Eahhad Mein Humein
Sub Kuch Mila Sakoon Ki Dolat Nahi Mili
Kaash hum samajh
letey..
Manzilon ki chahat
mein..
Raasta Badalney
sey..

Faasla Nahi Ghat''ta..

Do Ghari ki qurbat
mein..
Char pal ki chahat
mein..
Log Log rehtey hein..
Qafila nahi banta..


Hath mein Diya ley kar..
Hont pe Dua''a ley kar..
Manzilon ki janib ko..
Chal bhi dein to kia ho ga?
Khawahishon ke jungle mein,
itni bheer hoti hai..


Keh umar ki musafat mein,
Raasta nahi milta,,
Qafila nahi milta,,
Hamsafer nahi milta,,

Shayad Kuch Bhi Nahi Milta....
Kabhi hum pe wo jan Diya karty thay*



Jo hum kehty thy wo maan liya karty thay*



Aj pas se anjan bun kar guzar gaey*



Jo door se hi pehchan lya karty thay...->?
Tere Naam ki thi jo Roshni usey khud tu ne bujha Diya
Jissko jala saki thi na Dhoop usey chandni ne jala Diya

Main ho gardishon ka maara howa mujhey ab apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha mera rehnuma usey Rastoo main ganwaa Diya

Jiss ko samjha tha to ne raqeeb,woh tera naseeb tha
Tere haath ki lakeer tha,usey to ne haath se hi mita Diya

Mujhey ishq hai ke junoon, yeh faisla kabhi na ho saka
Mera naam zeenat-e-dasht tha,isey aandhiyon ne mita Diya

Yeh udasiyoon ka jamal hai ke tumhara ivj-e-kamal hai
Ke kabhi zaat se bi chupa liya to kabhi shehar bhar ko suna Diya

Mere omar ka gulistan abhi khula howa hai zaroor par
Wo jo phool thay tere chah ke unko mosamoo ne gira Diya
Hum chalay jayen to hum ko na bhulana yaro
Aiwan e dil main meri yaad ko sajana yaro
Mana k hum main na thee koi baat ajab si
Meray junoon, meri wafa ko he sarahna yaro

Meri wafaon ki toseef k wastay
Meray khoon e dil say likh sabaq dohrana yaro
Shayad isi tarah zinda rahoon tumhari yadon, tuhari baton main
Meri ghazlon, meray sheron ko gungunana yaro

Yaad aa jaye maah o saal main ik baar jo meri
Meray mazaar pe ik nanha sa Diya jalana yaro
Chand phool aur meri dua e maghfirat k
Daba ker qabr main mujh ko na bhool jana yaro
Tumhare Hijr Ki SaDiyan, Tumhare Wasal K Din...
Main Us Shumar Se Niklon Tu Aur Kuch Sochon...!!
Apki yad ne mujhe fir rula Diya,

bahut khush ho ap zalim jisne hame ye sila Diya.

Do shabd bhi likhna na ata tha hume,

or aaj apki mohabbat ne mujhe shayar bana Diya.
Yoon bhi ham door rehtay thay..
Yoon bhi dilon mein ik kadoorat thi..

Tum nay rasman bhula Diya warna..
Is takkaluf ki kya zarurat thi...
Zindgi ka raaz tanhayi me pa liya,

Jiska gum mila apna bana liya.

Humara gum sunne ko jab koi na mila,

Samne rakha aaina or khud ko suna Diya.
Diyar-e-dil ki raat mai chirag sa jhala gaya,
mila nahi tu kaya hua,wo shakal tu dekha gaya,
wo dosti tu kher naseeb-e-dushmana huee,
wo choti choti ranjishon ka lutaf b chala gaya
Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Wafa Dete
Har Ik Ne Dokha Diya Kis Kis Ko Saza Dete
Ye Hamara Zarf Tha Ke Khamosh Rahe Warna
Daastan Sunatey To Mehfil Ko Rula Dete