Diya SMS Messages534 messages

Tera saath mil jaaey tou sab dukh bhool jaaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain banaaon gi

nichaawar khawaab kar doon gi terey har ishaarey par
kabhi peepal ki chaaon main kabhi naDiya kinaarey par
tumhain thandak ataa kar doon gi ik basaat ki manend
bikhartey chaand jharnoon main ujalti raat ki manend

mujhey tum se muhabbat hai main logoon ko bataaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain banaaon gi

main chaahon gi tumhain janaan umangon se ujaalon tak
khudi ke dasht se le kar naey janmon ke saalon tak
Meri thandi si tanhaae sulagti raat jaisee ho
mujhey bas saath le jao bhaley baraat jaisee ho

tmharey surkh jorhey main hi dulhan ban ke aaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain banaaon gi
hum ko gali mein dekh kar khud ko chupa lia jany yeh dushmano nay usay kya sikha Diya ghar us nay kya banaya masjid k samnay chahat nay uski humko namazi bana Diya
na chahte hue bhi didar ho gaya,
tujhe dekha to mujhe pyar ho gaya.
socha na tha ki manzar ajib hoga tumse milkar,
par khuda ne tujhse milakar mausam rangeen kar Diya.
Poocha rooh nikalti hai jism sy kis tarah?Hath us ny hatoon sy chura kr dikha Diyapoocha mehshar sy pehlay qayamat hai kiya??Nakab usny ruh sy utha kr dikha DiyaPoocha k yeh her taraf khizan c kyoun hai???Mehfil sy khud ko utha kr dikha DiyaPoocha ek Diya jo hawa sy na bujh saka??Diya us ny wafa ka jala kr dikha DiyaPoocha k aakhir yeh hassad hai kiya cheez??Us ny kisi aur ko apna bana k dikha Diya...!
kahan aa kar rukay thay rastay..kahan mour thaa ussay bhool ja
woh jo mil ghaya ussay yaad rakh, jo nahin mila ussay bhool ja

woh teray naseeb ki barish kisi aur chhat pay baras ghaee
dil-e-baykhabr mere baat sun ,ussay bhool ja ussay bhool ja

main tou gum thaa teray dhiyaan main,tere aas main teray ghuman main
saba keh ghaee meray kaan main ,meray paas aa ussay bhool ja..

kisi ankh main nahin aske-eghum,teray baad nahin kuch bhee kam
tujhay zindaghee nai bhula Diya,tu bhee muskara, usaay bhool ja...

na woh ankh he tere ankh thee, na woh khawab he tera khawab thaa
dil-e-muntazir tou yeh kis liyay,tera jaghna ussay bhool ja..
Arzoo-e-Dil ne hamay diwana bana Diya.

Roay na thay hum kabhi, Humain rolla Diya.

Hum ne to har waqat yaad kiya aap ko lakin,

Aap ne yaad karte karte Zamana laga Diya..
Barson k baad Dekah ek Shakhs Dil-Ruba sa,
Ab Zehn mai nahi hai per Naam tha Bhala sa

Ubroo khinche khinche se, Aankhein Jhuki Jhuki si,
Baatein ruki ruki si, Lehja thaka thaka sa

Alfaaz they k, Jugnoo Awaaz k safar mai,
Ban jaye Jangalon mai jis tarah Rasta sa

Khuwabon mia Khuwab us k, Yaadon mai Yaad uski,
Neendon mai ghull gaya ho, jese k Rat-jaga sa

Pehley b Log aaye kitne hi Zindagi mai,
Wo her tarah se lekin Auron se tha Juda sa

Agli Mohabbaton ne wo Na-MuraaDiyan di,
Taza Rafaqaton se Dil tha Dara Dara sa

Tewar The Berukhi Ke Andaaz Dosti Ka
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa
Aainda maat anna tum kabhi bhi yaad mujhye
Tere yadoon nye ker Diya bar-baad mujhye

Na duniyta ke sitaam Na qismat ki badnasibi
Kuch nahi teri muhabbat ke siwa yaad mujhye

Atte hain nazar har taraf wiranye hi wiranye
Dikhai nahi deta SHARIM koi ghar ABAD mujhye
Raat ko pocha mujse chand sitaro ne
tumko bhula Diya tere jigri yaro ne.

Maine kaha k bhule nhi hai faryad to karte honge,
mera sms padh k yaad to karte honge.
Humain hasrat nahi tumharay in charagon ki,
hum woh hain jinkay dil loo Diya kartay hain!
Iss Duniya Ki Bheer Mein Koi Tanha Nahi Ye Zaroori Tu Nahi... Hanstey Laboon Kay Peechay Koi Siski Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Muskarati Aankhoon Kay Peechey Koi Aansoo Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Ye Dil Under Say Tootey Or Chanak Bahar Bhi Sunai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Hum Under Say Jal Jaeen Or Dhuaa Bahar Bhi Dekhai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Duniya Aapne Diya Hue Zakhmoo Per Marham Bhi Rakhey Ye Zaroori Tu Nahi
Kabhi dil na mera liya hota
Ya wada hi na kiya hota
Dena mujhe jo zakhm tha
Itna gahra to na Diya hota

Kiska gunaah kahain isko
kis kambakht se gila hota
hota khuda hi meri taraf
ya sanam na bewafa hota

iska bhi koi hisaab hai
rishta koi to raha hota
Jab ashk hi bahe the to
ye dil bhi bujh gaya hota

"Meri aah sun ke wo bola
GHam-e-zikr kyun kiya hota
dard-e-dil ku''redne se to
behtar tu mar gaya hota"