hum ko gali mein dekh kar khud ko chupa lia jany yeh dushmano nay usay kya sikha diya ghar us nay kya banaya masjid k samnay chahat nay uski humko namazi bana diya
Neend Aankhon Main Nahin, Khwaab Kho Gaye
Tanha Hi The, Kuch Aur Tere Bin Hum Ho Gaye
Dil Kuch Tadap Utha, Zuban Bhi Ladkhadai
Teri Yaad Main Do Aansu Chupke Se Beh Gaye !
MIAN NY JANA HAI KY
MUHABBAT MAUSSAM NAHEE
APNI MUDDAT PORI KAREY
AUR RUKHSAT HO JAYE
MUHABBAT SAWAN NAHEE
TOOT KY BARSEY
MUHABBAT AAG NAHEE
SULGY BHARKEY
AUR BUJH JAYE
MUHABBAT AAFTAB NAHEE
UBHREY CHAMKY
AUR DHAL JAYE
MUHABBAT TOU CHAND KI MANIND HAI
JO BARHTA HAI
GHAT''TA HAI
NIKLTA HAI
CHUPTA HAI
MAGAR..
KABHI FANNA NAHEE HOTA!
Zindagee ki raahon main
Ek lamha lagta hai
dil kisee pay anay main
mujh ko bhi mila tha woh
jis ko dekhtay hi dil
betahasha dharka tha
mujh se keh raha tha woh
tum se pyar hai mujh ko
muskura kay main nay bhi
phool le lia us say
haath haath main le kar
pyar kay ata karda aasman pay hum dono
chahtay thay saath urna
aasman pay jeevan bhar koi urr saka hai kia ?
haath haath se choota
Ek sitara jo toota
tab khabar hui mujh ko
Ek lamha lagta hai
dil kay toot janay main
aur Umar lagti hai
kirchian uthanay main